Main Madine Chala | Owais Raza Qadri
Main Madine Chala | Owais Raza Qadri
Main madeene chala main madeene chala
Phir karam ho gaya main madeene chala
Saqiya main pila main madeene chala
Mast-o-be khud bana main madeene chala
Main madeene chala main madeene chala
Phir karam ho gaya main madeene chala
Kaif sa chha gaya main madeene chala
Jhoomta jhoomta main madeene chala
Main madeene chala main madeene chala
Phir karam ho gaya main madeene chala
Ashq thamte nahin paaon jamte nahin
Ladkhadata hua main madeene chala
Main madeene chala main madeene chala
Phir karam ho gaya main madeene chala
Mere Aaqa ka dar hoga pesh-e-nazar
Chahiye aur kya main madeene chala
Main madeene chala main madeene chala
Phir karam ho gaya main madeene chala
Ae shajar ae hajar tum bhi shams-o-qamar
Dekho dekho zara main madeene chala
Dekhta hai mujhe ye nazare mujhe
Tum bhi dekho zara main madeene chala
Dekho dekho zara main madeene chala
Main madeene chala main madeene chala
Phir karam ho gaya main madeene chala
Ruh-e-muztar thaher tu nikalna udhar
Itni jaldi bhi kya main madeene chala
Hath uthte rahen mujhko dete rahen
Wo talab se siwa main madeene chala
Main madeene chala main madeene chala
Phir karam ho gaya main madeene chala
Noor-e-haq ke huzoor apne sare kusoor
Bakhswane chala main madeene chala
Mere Siddiq Umar (ra) ho salam aap par
Aur rahmat sada main madeene chala
Wo uhud ki zameen jiske andar makeen
Mere Hamzah (ra) piya main madeene chala
Wo pakki ki zameen jiske andar makeen
Mere madni ziya main madeene chala
Main madeene chala main madeene chala
Phir karam ho gaya main madeene chala
Gumbad-e-sabz par jab padegi nazar
Kya suroor ayega main madeene chala
Unke meenar par jab padegi nazar
Kya suroor ayega main madeene chala
Mimbar-r-noor par jab uthegi nazar
Kya suroor ayega main madeene chala
Unka ghum chashm-e-tar aur sauz-e-jigar
Ab to de de khuda main madeene chala
Dar pe ulfat mile zauq badhne lage
Jab chale qafila main madeene chala
Main madeene chala main madeene chala
Phir karam ho gaya main madeene chala
Kya karega idhar bandh rakht-e-safar
Chal Ubaide Raza main madeene chala
Kya ye tune kaha ae Ubaide Raza
Soch to zara main madeene chala
Main to bas yun hi tha main ki auqat kiya
Aafiya ye mila main madeene chala
Lutf to jab mile mujh se murshid kahe
Chal Ubaide Raza main madeene chala
Main madeene chala main madeene chala
Jhoomta jhoomta main madeene chala
Main madeene chala main madeene chala