Nadan Ko Is Baat Ka Bilkul Nahi Pata | Anas Younus
Nadan Ko Is Baat Ka Bilkul Nahi Pata | Anas Younus
Nadan ko is baat ka bilkul nahi pata
Watu izzu mantasha watu zillu mantasha
Allah ke huzoor yeh hota hai faisla
Watu izzu mantasha watu zillu mantasha
Jhoothi nawaz shaat ki barish fuzul hai
mujhko zaleel karne ki saazish fuzul hai
Mera qadam qadam pe madadgaar hai khuda
Watu izzu mantasha watu zillu mantasha
Nadan ko is baat ka bilkul nahi pata
Watu izzu mantasha watu zillu mantasha
jab tak zameen walon ko neecha dikhaoge
be-dagh suraton ko to sheesha dikhaoge
Aayegi aasmaan se us waqt ye sada
Watu izzu mantasha watu zillu mantasha
Nadan ko is baat ka bilkul nahi pata
Watu izzu mantasha watu zillu mantasha
Banjar zameen pe phool ki chaadar bichhaye wo
patthar ko mom, mom ko patthar banaye wo
uski raza se zehar bhi ban jaata hai dawa
Watu izzu mantasha watu zillu mantasha
Nadan ko is baat ka bilkul nahi pata
Watu izzu mantasha watu zillu mantasha
Kuchh bhi nahin hun doston anpadh gawaar hun
Be-naam be-nishaan hun be-aitbaar hun
Altaf tha to usne banaya mujhe ziya,
Watu izzu mantasha watu zillu mantasha
Anas tha main to usne banaye hai naat-khawan
Watu izzu mantasha watu zillu mantasha
Nadan ko is baat ka bilkul nahi pata
Allah ke huzur me hota hai faisla
Watu izzu mantasha watu zillu mantasha
Watu izzu mantasha watu zillu mantasha