Ae Sabz Gumbad Wale | Owais Raza Qadri

Ae Sabz Gumbad Wale | Owais Raza Qadri

Ae Sabz Gumbad Wale | Owais Raza Qadri
: :

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt-e-naza aaye deedar ata karna

Ae noor-e-khuda aakar ankhon me sama jana
Ya dar pe bula lena ya khwab me aa jana

Ae parda nasheen dil ke parde me raha karna
Jab waqt-e-naza aaye deedar ata karna

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt-e-naza aaye deedar ata karna

Main qabr andheri me ghabraunga jab tanha
Imdad meri karne aa jana mere aaqa (saw)

Raushan meri turbat ko ae noor-e-khuda karna
Jab waqt-e-naza aaye deedar ata karna

Mujrim hun jahan bhar ka mehshar me bharam rakhna
Ruswa-e-zamana hun daman me chhupa lena

Maqbool ye arz meri lillah zara karna
Jab waqt-e-naza aye deedar ata karna

Chehre se zeeya payi in chand sitaron ne
Us dar se shifa payi dukhdard ke maron ne

Ata hai use sabir har dukh ki dawa karna
Jab waqt-e-naza aye deedar ata karna

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt-e-naza aaye deedar ata karna