Roze To Main Rakhunga | Hafiz Ahmed Raza Qadri

Jaise hi chaand nazar aaya hai ramzan ka
Khil utha chehra dekho dekho musalman ka
Bade to phir bade hai shauq hain bacchhon mein bhi
Rakhe is baar wo har roza ramzan ka
Maah-e-Ramzan ke roze hain jazba hai ibadat ka
Chhota hun agar to kya, Roze to main rakhunga
Maah-e-Ghufran, Maah-e-Ramzan
Maah-e-Quran, Maah-e-Ramzan
Sehri me bhi jagunga, Main namaz bhi padhunga
Taufiq se Allah ki roze to main rakhunga
Maah-e-Ramzan ke roze hain jazba hai ibadat ka
Chhota hun agar to kya, Roze to main rakhunga
Ye maah-e-mohabbat hai, har ek rukawat ko
Raahon se hataunga, roze to main rakhunga
Maah-e-Ramzan ke roze hain jazba hai ibadat ka
Chhota hun agar to kya, Roze to main rakhunga
Talqeen ko samjhunga, ghusse mein na aaunga
Ab pyar badhaaunga, roze to main rakhunga
Maah-e-Ramzan ke roze hain jazba hai ibadat ka
Chhota hun agar to kya, Roze to main rakhunga
Go bhookh ki shiddat ho, khana hai na peena hai
Allah ko manana hai, roze to main rakhunga
Maah-e-Ramzan ke roze hain jazba hai ibadat ka
Chhota hun agar to kya, Roze to main rakhunga
Neki ka maheena hai, auron ki madad karna
Emaan fariza hai, roze to main rakhunga
Maah-e-Ramzan ke roze hain jazba hai ibadat ka
Chhota hun agar to kya, Roze to main rakhunga
Jis aankh me aansu hon, wo poncchne jagunga
Chehron ko khilaaunga, Roze to main rakhunga
Maah-e-Ramzan ke roze hain jazba hai ibadat ka
Chhota hun agar to kya, Roze to main rakhunga
Katib yeh maheena to afzal hai maheeno mein
Arman hai seeno mein, Roze to main rakhunga