Alvida Alvida Mah-E-Ramzan | Hafiz Ahmed Raza Qadri

Alvida Alvida Mah-E-Ramzan | Hafiz Ahmed Raza Qadri

Alvida Alvida Mah-E-Ramzan | Hafiz Ahmed Raza Qadri
: :

Hamen chhor kar chala ramzan
Hamen chhor kar kyun chala
Hamen chhor kar chala dekho ramzan

Alvida alvida mah-e-ramzan
Qalb-e-ashiq hai ab para para
Alvida alvida mah-e-ramzan

Tera aane se dil khush hua tha
Aur zoq-e-ibadat badha tha
Aah ab dil pe hai gham ka ghalba
Alvida alvida mah-e-ramzan

Nekiyan kuchh na ham kar sake hain
Aah isiyan hi mein din katen hain
Haay ghaflat mein tujhko guzara
Alvida alvida mah-e-ramzan

Kuchh na husn-e-amal kar saka hun
Nazar chand ashq main kar raha hun
Bas yehi hai mera kul asasa
Alvida alvida mah-e-ramzan

Bazam-e-iftar sajti thi kaisi
Khoob sehri ki rounaq bhi hoti
Ho gaya sab saman soona soona
Alvida alvida mah-e-ramzan

Tere diwaane ab ro rahen hain
Muztarib sab ke sab ho rahen hain
Kon dega inhen ab dilasa
Alvida alvida mah-e-ramzan

Jab guzar jayenge mah gyarah
Teri aamad ka phir shor hoga
Par kya bharosa meri zindagi ka
Alvida alvida mah-e-ramzan

Saal-e-ayenda shah-e-umam tum
Karna ‘attar par ye karam tum
Phir madine mein ramzan dikhana
Alvida alvida mah-e-ramzan