Sarkar Ki Nagri Me | Hafiz Ahmed Raza Qadri
Sarkar Ki Nagri Me | Hafiz Ahmed Raza Qadri
Sarkar (saw) ki nagri me anwaar utarte hain
Is shahar ke zarron se khurseed ubharte hain
Is dar ki ataaon ne daman mera bhar dala
Hota hai karam unka din mere guzarte hain
Sarkar ki nagri me anwaar utarte hain
Ye aap ka koocha hai is kooche ki galiyon me
Jhonke bhi hawaaon ke khamosh guzarte hain
Sarkar ki nagri me anwaar utarte hain
Ye zakhm hain taiba ke mat chhed tabib inko
Ye zakhm nahin aise marham se jo bharte hain
Sarkar ki nagri me anwaar utarte hain
Taiba ki judai me ab haal hai yun apna
Tahni se juda ho kar jaise patte bikharte hain
Sarkar ki nagri me anwaar utarte hain
Karta nahin shahon ki dar yuzagari Altaf
Bas mere kareem aaqa ka jholi meri bharte hain
Sarkar ki nagri me anwaar utarte hain
Is shahar ke zarron se khurseed ubharte hain
Sarkar ki nagri me anwaar utarte hain
Sarkar ki nagri me anwaar utarte hain