Afzal Hai Mursalon Me | Anas Younus
Afzal Hai Mursalon Me | Anas Younus
Afzal hai mursalon me risalat huzoor (saw) ki
Akmal hai ambiya me naboowat huzoor ki
Hai zarrah zarrah unki tajalli ka ek suragh
Aati hai phool phool se nikhat huzoor ki
Afzal hai mursalon me risalat huzoor (saw) ki
Akmal hai ambiya me naboowat huzoor ki
Pehchan lengen aap wo apno ko hashr me
Ghafil nahin hai chashm-e-inayat huzoor ki
Afzal hai mursalon me risalat huzoor (saw) ki
Akmal hai ambiya me naboowat huzoor ki
Aate rahe then rahnumaayi ko ambiya
Jari rahegi rushd-o-hidayat huzoor ki
Afzal hai mursalon me risalat huzoor (saw) ki
Akmal hai ambiya me naboowat huzoor ki
Ankhen na ho to khak nazar aaye aftab
Siddiq jante hain sadaqat huzoor (saw) ki
Afzal hai mursalon me risalat huzoor (saw) ki
Akmal hai ambiya me naboowat huzoor ki
Khole hain mushkilat jahan ne kayi mahaaz
Kam aayi har qadam pe himayat huzoor ki
Meri nazar me murshid-e-kamil hai wo bashar
Tafweez kar sake jo mohabbat huzoor ki
Jo ho gaye hon aap ke aap unke ho gaye
Adat nahin hai tark-e-murawwat huzoor ki
Afzal hai mursalon me risalat huzoor (saw) ki
Akmal hai ambiya me naboowat huzoor ki
Guzri hai muflisi me badi abroo ke sath
Allah ka karam hai inayat huzoor ki
Afzal hai mursalon me risalat huzoor (saw) ki
Akmal hai ambiya me naboowat huzoor ki