Yaad-e-Madina | Anas Younus
Yaad-e-Madina | Anas Younus
Aao kahani ke tumko sunaun
Aao Madine ki mai sair karaun
Apne nabi pe qurban mai jaun
Madine me mout aaye jannat mai paun
Apne nabi se hui waha pe mulaqaten
Unse maine ki thi dil ki sab baaten
Yad aati hai mujhko taiba ki rahen
Kitne suhaane din the shaamen aur raaten
Qibla teno aati jinke manzar hai
Jitne dekhe sab aankho ke andar hai
Raqam jo ki hai kitni suhani yaaden hai
Kitne suhaane din the shaamen aur raaten
Kabhi qoba ke nazare hain
Nafil seta kitne piyare hain
Masjid-e-nabwi Allah hu akbar
rahmat barkat ke dhare hain
Razul jannah me jo nawafil padhte the
Rote rahte or apna dam bharte the
Wo hujjaj se karte rahna mulaqaten
Kitne suhaane din the shaamen aur raaten
Aap (saw) muzammil ap mudassir kahlaaye
Khairo bhalayee dar se wafa ban kar aaye
Aap se jari rahmat ki hai baraten
Kitne suhaane din the shaame aur raaten
Rouze ke jaliyon ko thamne ka manzar
Mere nabi jee rahmat ka paikar
Dono jahan me aapse bhalai
Aap hi jahan ke waste hai sarwar
Wo bazar-e-madina me aana jaana
Rahmat ki waadi me khul kar jee lena
Lete rahna wo emaani soughaten
Kitne suhane din the shaame aur raaten
Yad aati hai mujhko taiba ki raahen
Kitne suhane din the shaame aur raaten