Yateem Ki Eid | Fahad Shah
Yateem Ki Eid | Fahad Shah
Suno pyare logon tum ek waqya
Hue khatm roze tha din eid ka
Wo nabiyon ke sardar banda nawaz
Chale ghar se masjid ko padhne namaz
Guzar ek gali se hua aapka (saw)
wahan dekha ek bacchha rota hua
Suno pyare logon tum ek waqya
Hue khatm roze tha din eid ka
Wo bacchha tha kamsin bahut hi ghareeb
Gaye paas uske khuda ke habib (saw)
Kaha aaj ke din to khushiyon ka hai
Tujhe kyun moyassar nahi hai ye shai
Suno pyare logon tum ek waqya
Hue khatm roze tha din eid ka
Wo bola shahnshah-e-duniya-wa-deen
Mere ammi aur abbu dono nahi
Khushi eid ke din mere ghar nahi
Pahanne ko kapde moyassar nahi
Suno pyare logon tum ek waqya
Hue khatm roze tha din eid ka
Nabi ne kaha tu na kar ranj-o-gham
Jo tera nahi koi tere hain ham
Ye sunkar wo bacchha bahut khush hua
Rasool-e-khuda ke wo ghar aa gya
Suno pyare logon tum ek waqya
Hue khatm roze tha din eid ka
Ghareebon yateemon ka ye ehtaram
Mohammad pe lakhon darood-o-salam