Allah Mere Aaqa Ka Andaz | Fahad Shah
Allah Mere Aaqa Ka Andaz | Fahad Shah
Allah mere Aaqa ka
Andaz faqeerana
Kamli me jhalakti hai
Ek shaukat-e-shayana
Un ankhon ki azmat par
Konain bhi sadqe hain
Jin ankhon ne dekha hai
Wo jalwa-e-janana
Allah mere Aaqa ka
Andaz faqeerana
Kamli me jhalakti hai
Ek shaukat-e-shayana
Gar unki muhabbat ho
Aur unki ata’at ho
Bakhshish ka mile tamgha
Aur khuld ka parwana
Allah mere Aaqa ka
Andaz faqeerana
Kamli me jhalakti hai
Ek shaukat-e-shayana
Hai ishq-e-shah-e-batha
Wo jinse gira qeemat
Konain ki daulat bhi
Jiska nahin biaana
Allah mere Aaqa ka
Andaz faqeerana
Kamli me jhalakti hai
Ek shaukat-e-shayana
Jo gham me mita unki
Wo zinda hain zinda hain
Jo unka deewana
Farzana hai farzana hai
Allah mere Aaqa ka
Andaz faqeerana
Kamli me jhalakti hai
Ek shaukat-e-shayana
Koi bhi kahe kuchh bhi
Matlab hai fareedi kya
Unse hai mujhe nisbat
Main unka hun deewana
Allah mere Aaqa ka
Andaz faqeerana
Kamli me jhalakti hai
Ek shaukat-e-shayana