Phir Peshe Nazar Gumbad-e-Khazra | Anas Younus
Phir Peshe Nazar Gumbad-e-Khazra | Anas Younus
Phir pesh-e-nazar gumbade khazra-e-haram hai
Phir naam-e-khuda rauza-e-jannat me qadam hai
Phir shukr-e-khuda samne mehrab-e-Nabi (saw) hai
Phir sar hai mera aur tera naksh-e-qadam hai
Mehrab-e-Nabi hai ke koi toor-e-tajalli
Dil shouq se labrez hai aur aankh bhi nam hai
Phir mannaten darban ka aezaj mila hai
Ab dar hai kisi ka na kisi cheez ka gham hai
Phir bargah-e-sayyad-e-konain me pahuncha
Ye unka karam unka karam unka karam hai
Ye zarra-e-nacheez hai khursheed badama
Dekh unke ghulamon ka bhi kya jaa-o-hasham hai
Rag rag me mohabbat ho Rasool-e-Arabi ki
Jannat ke khazan inki yehi bai salam hai
Wo rehmat-e-alam hain shah-e-aswad-o-ahmar
Wo sayyad-e-konain hai aaqa-e-umam hai
Wo alam-e-tauheed ka mazhar hai ke jisme
Mashriq hai na Maghrib hai Arab hai na Ajam hai
Dil Naat-e-Rasool-e-Arabi (saw) kehne ko bechain
Alam hai tahayyur ka zuban hai na qalam hai
Phir pesh-e-nazar gumbade khazra-e-haram hai
Phir naam-e-khuda rauza-e-jannat me qadam hai