Nikah-e-Hazrat Fatimah | Anas Younus
Nikah-e-Hazrat Fatimah | Anas Younus
Mubarak ho mubarak ho, Mubarak ho mubarak ho
Mubarak ho mubarak ho, Mubarak ho mubarak ho
Mubarak hai wo din laraib rajjab ke maheene me
Nikah-e-hazrat-e-Zohra (ra) hua jis din madeene me
Wo Zohra haan wohi Zohra Rasoolullah (saw) ki beti
Wohi Zohra shahanshahon ke shahanshah ki beti
Wo kamli odhne wale mujassam noor ki dukhtar
Wo Abdullah ki poti Aamna ke phoor ki dukhtar
Wo khahar Umm-e-kulsum aur Ruqaiya aur Zainab ki
Wo sab bahno se chhoti isliye noor-e-nazar sab ki
Wo Qasim ki bahan wo taiyab-o-tahir ki maa jahi
Jo maa ki god me itmaam nemat ki tarah aayin
Wohi ayen naye iffat ka sabse khushnuma johar
Khdija (ra) ka hira ke batn ka ek bebaha gohar
Wo subh-e-noor chashme rahmatul lil alameen Zohra
Nageene khatme taskeen-e-khatm-ul-mursalin Zohra
Wo Zohra jo shabih-e-uswahe sarkar aali thi
Ali (ra) se aj usi Zohra ki shadi hone wali thi
Mubarak ho mubarak ho, Mubarak ho mubarak ho
Mubarak ho mubarak ho, Mubarak ho mubarak ho
Mohajir aur ansar-e-akabir jama the sare
Utar aye the goya din ko is taqreeb me tare
Ali baizz-o-shane hashmi tha inke jhurmat me
Wo mahe asmaane hashmi tha unke jhurmat me
Na koi baja gaja tha na koi shor-o-hangama
Na shahnai na nakkara na daff thi aur na dammama
Na ranga rang poshaken na kangan tha na sehra tha
Wohi the shahe marda our wohi mardana chehra tha
Rasoolullah (saw) khud maujood the mehrab masjid me
Kami karta koi phir kis tarah adab masjid me
Rukh-e-shams-o-zuha ki soz se pur tanwir thi masjid
Sukun-o-sadgi ki khushnuma tasweer thi masjid
Zameen se asmaan tak bas gaye naghmaat ruhani
Ke khud quran atiq ne padhi ayat qurani
Hua ye aqd alishan mamuli tariqe se
Huye taqseem khurme ghair mamuli saliqe se
Mubarak ho mubarak ho, Mubarak ho mubarak ho
Mubarak ho mubarak ho, Mubarak ho mubarak ho
Dom tha saal hijri aur zil-haj ka maheena tha
Payambar baad jang-e-badr jaan bakhshe madeena tha
Irada aapne (saw) ab rukhsat-e-Zohra ka farmaya
Mohabbat se janabe murtaza ko paas bulwaya
Bahot ehsas tha Haidar ki nadari kaha di ko
Kaha hai kuchh tumhare paas ikhrajat shadi ko
Kaha ye ek maznoon-e-adaq hai ya rasoolullah (saw)
Faqat naame rasoolo naam haq hai ya rasoolullah (saw)
Kaha phir wo zirah kiya ho gayin jo tumne payi thi
Jo roze badr me dame tumhare hath ayi thin
Kaha maujood hai hazrat ne farmaya wo kafi hai
Tum usko bech dalo jo bhi hath aya wo kafi hai
Zirah bechi Ali ne 480 daraham me
Bakaule shibliye marhoom isse se bhi bahut kam hai
Thi shadi Fatimah ki sadgi ka tarpana sara
Waleema bhi isi me aur isi me mehar bhi sara
Mubarak ho mubarak ho, Mubarak ho mubarak ho
Mubarak ho mubarak ho, Mubarak ho mubarak ho
Jahez inko mila jo kuchh shahanshah-e-do alam se
Mila hai dars hamko sadgi ka fakhr adam se
Mataye duniyawi jo hissa-e-Zohra me ayi thi
Khajuri khurdare se baan ki ek charpai thi
Mushaqqat umr bhar karna jo likha tha muqaddar me
Mili thi chakkiyan do taake ata pees le ghar me
Ghade matti ke do the aur ek chamde ka gadda tha
Na aisa khushnuma tha ye na bazr-e-bor behda tha
Bhare the isme rui ki jagah patte khajuron ke
Ye wo saman tha jis par jaan-o-dil qurban huron ke
Wo Zohra jinke ghar tasneem-o-kausar ki thi alzani
Mili thi mashk unko taake khud laya karen pani
Mila tha faqr-o-faqa hi magar asli jahez unko
Ke bakhshi thi khuda ne ek jabeen-e-sajdahrez unko
Chali thin baap ke ghar se Nabi (saw) ki ladli pahne
Haya ki chadaren iffat ka jama sabr ke gahne
Redaye faqr bhi hasil thi tuafiq-e-sakhawat bhi
Ke hona tha ise sartaj khatunan-e-jannat bhi
Isi ki tarbiyat me uswa tha yamno saadat ka
Isi ki god se dariya ubalna tha shahadat ka
Wohi ghairat jo mehre khatme haq ka nagina thi
Ameen ki ladli hi us amanat ki ameena thi
Ali-ul-murtaza ne aj taj-e-hal ata paya
Dulhan ki shaql me ek pekare sidq-o-afa paya
fidar ke ghar se rukhsat ho ke Zohra apne ghar aayi
Tawkkal ke khazane daulat-e-mehro wafa layi
Mubarak ho mubarak ho, Mubarak ho mubarak ho
Mubarak ho mubarak ho, Mubarak ho mubarak ho
Ishopad kar chala beti ke ghar haadi zamane ka
Dar-e-baite Ali (ra) par izn manga andar ane ka
Bahe tahzeeb ummat izn hasil kake Sarwar ne
Ziya is ghar ko bakhshi zeenaten merab membar ne
Bashakhkhat sada pani ka pyala ek mangwaya
Dua dam karke khud thoda sa pani nosh farmaya
Diyen pani ke chheeten seena-o-bazu-e-Haidar par
Yehi pani rasoolullah (saw) ne chhidka pak dukhtar par
Mohabbat our shafqat se bitha kar paas dono ko
Dua ki ae khuda ye aqd aye raas dono ko
Ho inki nasl ya rab do jahan me khair ka baais
Ye aqd-e-khair hon kono makan me khair ka baais
Khudawnda inhen pakizah se pakizah tar kar de
Amal me de asar inke irade khair se bhar de
Dua ke baad dukhtar se phir itni baat farma di
Ke maine mard afzaltar se kar di hai teri shadi
Adab se sar jhukaye saamne istadah the dono
Haya dari ki ek zinda shabi haisad the dono
Sitaron ko hai ab tak yad ye purkaif nazara
Morakhkhas apno pyaro se hua Allah ka pyara