Aaqa Tere Aane Se | Anas Younus

Aaqa Tere Aane Se | Anas Younus

Aaqa Tere Aane Se | Anas Younus
: :

Aaqa (saw) tere aane se rang badla zamane ka
Haibat se gira teri har but butkhane ka

Tapti hui reton per padh kalmah bilal tera
Andaz nirala hai tere har parwane ka
Aaqa tere aane se rang badla zamane ka

Jis jis ko pilayi hai mere aaqa ne haathon se
Wo bhool gaya rasta har ek maikhane ka
Aaqa tere aane se rang badla zamane ka

Shahkaar hai qudrat ka tera husn mere aaqa
Husn-e-Yusuf to hai sadqah aaqa tere khazane ka
Aaqa tere aane se rang badla zamane ka

Tu choom le taliyon ko kafoori hontho se
Khud rab ne sikhaya hai andaz jagane ka
Aaqa tere aane se rang badla zamane ka

Mahboob na gham karna sar-e-hashr tu ummat ka
Mehshar to bahana hai teri shan dikhane ka
Aaqa tere aane se rang badla zamane ka

Jisko bhi mila tukda hasnain ke nana se
Mangta wo bana saail sultan zamane ka
Aaqa tere aane se rang badla zamane ka

Aaqa tere aane se rang badla zamane ka
Haibat se gira teri har but butkhane ka
Aaqa tere aane se rang badla zamane ka