Meri Nisbat Madine Se | Anas Younus

Meri Nisbat Madine Se | Anas Younus

Meri Nisbat Madine Se | Anas Younus
: :

Meri nisbat madine se yun hi nahin
Mere aaqa (saw) ka rauza madine me hai

Main madine ki janib na kaise khinchun
Mera deen aur duniya madine me hai
Main yahan hun mera dil madine me hai

Phool khilte hain padh padh ke salle ‘ala
Jhoom kar kah rahi hai ye bad-e-saba

Aesi khushbu chaman ke gulon me kahan
Jaisi khushbu nabi ke paseene me hai

Meri nisbat madine se yun hi nahin
Mere aaqa ka roza madine me hai

Meri nisbat madine se yun hi nahin
Mere aaqa ka rauza madine me hai
Main yahan hun mera dil madine me hai

Ek hai jannat teri ek hai hujra tera
Mere maula bata ab main jaaun kahan

Bhej di rab ne jannat usi hujre me
Ammi Ayesha (r.a) ka hujra madine me hai

Meri nisbat madine se yun hi nahin
Mere aaqa ka rauza madine me hai
Main yahan hun mera dil madine me hai

Ek hai chand arsh ka ek hai chand farsh ka
Farsh ke chand ka jalwa dekho zara

Ek ishare se tukde hua wo qamar
Is qamar ka qamar bhi madine me hai

Meri nisbat madine se yun hi nahin
Mere aaqa ka rauza madine me hai

Main madine ki janib na kaise khinchun
Mera deen aur duniya madine me hai
Main yahan hun mera dil madine me hai