Darbar Me Hazir Hai | Anas Younus

Darbar Me Hazir Hai | Anas Younus

Darbar Me Hazir Hai | Anas Younus
: :

Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Sar gashta-o-darmanda, be-himmat-o-nakara
Warafta-o-sargardan, be-maya-o-bechara

Shaitan ka sitam khurdan is nafs ka dukhiyara
Har simt se ghaflat ka ghere hue andhiyara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Jazbaat ki maujon me lafzon ki zuban gum hai
Alam me tahayyur ka yaraan-e-bayan gum hai
Mazmoon jo socha tha kya jane kahan gum hai
Aankhon me bhi ashqon ka ab naam-o-nishan gum hai

seene me sulagta hai rah rah ke ek angara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Aya hun tere dar par khamosh nawan lekar
Neki se nahi daman ambar-e-khata le kar
Lekin teri chaukhat se ummeed sakha le kar
Amal ki zulmat me taubah ki ziya le kar

Seene me talatum hai dil sharm se sadqara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Ummeed ka markaz ye rahmat se baradar hai
Is ghar ka har ek zarrah rashq-e-mah-o-akhtar hai
Mahroom nahi koi jis dar se ye wo dar hai
Jo iska bhikhari hai qismat ka sikandar hai

Ye noor ka qulzam hai ye aman ka fawwara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Ye kaaba karishma hai ya rab teri qudrat ka
Har lamha yahan jaari mizab hai rahmat ka
Har aan barasta hai hun teri sakhawat ka
Mazhar hai ye bandon se khaliq ki mohabbat ka

Is ‘alam-e-pasti me azmat ka ye jobara
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Ya rab mujhe duniya me jeene ka kareena de
Mere dil-e-wiran ko ulfat ka khazeena de
Sailab moasi me ta’at ka safeena de
Hasti ke andheron ko anwar-e-madina de

Phir dahar me phaila de iman ka ujiyara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Ya rab meri hasti par kuchh khas karam farma
Bakhshe hue bando me mujh ko bhi raqam farma
Bhatke hue raahi ka rukh soo-e-haram farma
Duniya ko ‘ataat se ghulzar-e-iram farma

Kar de mere maazi ke har saans ka kaffara
darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara,
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara

Sar gashta-o-darmanda, baihimmat-o-nakara
Warafta-o-sargardan be maya-o-bechara
Shaitan ka sitam khurdan is nafs ka dukhiyara
Har simt se ghaflat ka ghere huye andhiyara

Aaj apni khataon ka lade huye pushtara
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara
Aaj apni khataon ka lade huye pushtara
Darbar me hazir hai ek banda-e-awara