Beti To Hai Allah Ka Anmol Khazana | Anas Younus

Beti To Hai Allah Ka Anmol Khazana | Anas Younus

Beti To Hai Allah Ka Anmol Khazana | Anas Younus
: :

Ek waqya batlata hoon main mulk Arab ka
Wo daur madeene me tha paighambar-e-rab ka

Ek admi darbar-e-naboowat me the hazir
Emaan ki doulat mili wo pahle tha kafir

Us shakhs ne aaqa (saw) se kaha ae mere aaqa
Jis waqt main kafir the tab ek jurm kiya tha

Jo mera qabeela kahe wo maanta tha main
Beti ki wiladat ko bura janta tha main

Ghar me mere paida hui ek phool si bacchhi
Par maine use apni hi beizzati samjhi

Nafrat thi mujhe usse main bezar tha usse
Lekin meri biwi ko bahut pyar tha us se

Us bacchhi ne izzat meri har simt uchhali
Beti ki wiladat par mujhe milti thi gaali

Baahon me jhulaya na to kandon pe bithaya
Maine na kabhi beti ko seene se lagaya

Chahat hi nahin thi koi ulfat hi nahin thi
Seene me mere uski mohabbat hi nahin thi

Maasoom wo karti thi mohabbat ke ishare
Aur maine isi karb me kuchh saal guzare

Main sochta rahta tha use maar hi daloon
Khoi hui izzat ko phir ek baar main paa loon

Ek roz use le ke nikal aya main ghar se
Wo bacchhi bahut khush thi mere saath safar se

Wo totle andaaz me karti rahi baaten
Sunta raha has has ke main us bacchhi ki baaten

Farmaaish wo karti rahi wo sare safar me
Jaagi na mohabbat hi magar mere jigar me

Sehra me chala aya main basti se nikal kar
Bacchhi bhi wahan pahunchi mere saath hi chal kar

Sunsaan jagah dekh kar sarshar hua main
Us bacchhi ki tadfeen ko tayyar hua main

Tab maine ye socha ke yahin qabr bana loon
Aur aaj hi is bacchhi se chhutkara main paloon

Jab maine kiya ek gadha khodna jari
Us waqt mere zehan pe shaitan tha tari

Garmi thi bahut choor hua jab main thakan se
Us waqt paseena nikal aya tha badan se

Masoom si bacchhi ko taras aa gaya mujh par
Haathon hi se us bacchhi ne saya kiya mujh par

Dam lene ko baitha zara mujh sa kameena
Wo pochh rahi thi mere chehre ka paseena

Rah rah ke mera haath batati rahi wo bhi
Aur qabr ki matti ko hatati rahi wo bhi

Mere naye kapdo pe lagi qabr ki matti
Jo saaf kiye jati thi wo nanhi si bacchhi

Wo poochhti jati thi ki batlayen ne baba
Kya khod rahe ho mujhe samjhayen na baba

Main chup raha ab usko main batlata bhi kaise
Wo bojh thi mujh par use samjhata bhi kaise

Tayyar hui qabr to bacchhi ko uthaya
Aur maine usi qabr me bacchhi ko bithaya

Pahle to wo khush hoti rahi mere amal par
Aur khud pe ulatti rahi wo matti utha kar

Phir khauf se wo rone lagi chillane lagi wo
Haath apne hilane lagi lahraane lagi wo

Ae baba mere jaan-o-jigar aap pe qurban
Batlaiye ye kun aap pe bhari hai meri jaan

Bas mujhko mera jurm bata den mere baba
Phir shouq se jo chaho saza den mere baba

Roti rahi chillati rahi phool si bacchhi
Jab tak bhi nazar aati rahi phool si bacchhi

Us din meri rag rag me tha shaitan samaya
Us bacchhi pe thoda bhi mujhe raham na aya

Zinda hi use qabr me dafna diya maine
Ek jaan pe ye kaisa sitam dha diya maine

Wo aadmi rota raha ye baat bata kar
Us shakhs ke rukhsar bhi ashqon se hue tar

Ek dard se sarkar (saw) ki aankhen hui purnam
Dil tham ke rote rahe sarkar-e-do-aalam

Sarkar ko jo baat rulaye wo ghalat hai
Allah ko jo taish dilaye wo ghalat hai

Sarkar ko mana hai to sarkar ki mano
Har baat mere Sayyad-e-Abrar ki mano

Ek farz mila hai to use dil se nibha lo
Beti ko muhabbat se dil-o-jaan se palo

Beti pe to jannat ki zamanat hai khuda ki
Ye bojh nahi hai ye amanat hai khuda ki

Allah kabhi beti se nafrat na karo tum
Qanoon shariat se baghawat na karo tum

Duniya me tum aye ho to wapas bhi hai jana
Mehshar me na par jaye tumhe chehra chhupana

Anas ke nazron me hai wo shakhs dawana
Anas ki baton ko jo samjhega fasana

Beti ki mohabbat me kahin bhool na jana
Beti to hai Allah ka anmol khazana

Ummat se yahi kah ke gaye Hasnain (ra) ke nana
Beti to hai Allah ka anmol khazana

Jannat me yehi tumko dilayegi thikana
Beti to hai Allah ka anmol khazana

Beti ki mohabbat se mahakta hai gharana
Beti to hai Allah ka anmol khazana