Teri Aankhen Teri Zulfen | Anas Younus
Teri Aankhen Teri Zulfen | Anas Younus
Teri aankhen teri zulfen tera shana dekhun
Baarha khwab me manzar ye suhana dekhun

Log sare to tere shahar ke deewane hain
Meri khwahish hai ke mai tera zamana dekhun
Teri aankhen teri zulfen tera shana dekhun
Ret pahni hui makke ki guzargahon par
Neechi nazron se tera ghaar me jana dekhun
Teri aankhen teri zulfen tera shana dekhun
Tere kambal se tere jism ki khushboo soonghoon
Tujh pe utra tha jo hikmat ka khazana dekhun
Teri aankhen teri zulfen tera shana dekhun
Tere hathon ne kai din ki kadi dhoop ke baad
Fatmah (ra) ko jo khilaya tha wo khana dekhun
Teri aankhen teri zulfen tera shana dekhun
Hukm Allah se us raat ke khamoshi me
soo-e-yasrab tujhe hote mai rawana dekhun
Teri aankhen teri zulfen tera shana dekhun
Jang-e-khandaq me jo bandhe the wo patthar choomoon
Aur museebat me tera saath nibhana dekhun
Teri aankhen teri zulfen tera shana dekhun
Jaan ke dushman to naye khouf se tharraye magar
Maaf karne ka wo andaz purana dekhun
Teri aankhen teri zulfen tera shana dekhun
Chashm-e-Athar ko khudaya wo baseerat de de
Qibla rukh ho ke Mohammad (saw) ko rozana dekhun