Main Bhi Zakaat Dunga | Mix Vocalist
Main Bhi Zakaat Dunga | Mix Vocalist
Main bhi zakaat dunga
Main bhi zakaat dunga
Main bhi zakaat dunga
Main bhi zakaat dunga
Allah ki ata se
Fuqra ka sath dunga
Main bhi zakaat dunga
Main bhi zakaat dunga
Qarza-e-benisab hun
Main qabil-e-hisab hun
Phir bhi zakat na dun
To layek-e-azab hun
Hissa me chaliswan
Mustahiq ke haath dunga
Main bhi zakaat dunga
Main bhi zakaat dunga
Ye maal mere rab ka hai
Ye saal mere rab ka hai
Main faqeer hun ya ghani
Sab haal mere rab ka hai
Main imtehan mein rab ke
Qul namabrat lunga
Main bhi zakaat dunga
Main bhi zakaat dunga
Sona ho chandi ya naqdi
Bikne ko chizen jo rakh di
Saadhe saat ya saadhe bawan
Ya sath kuchh kuchh ke naqdi
Yak musht ho ya ho kam kam
Qadr-e-basat dunga
Main bhi zakaat dunga
Main bhi zakaat dunga
Mera maal bat gaya hai
Karobaar ghat gaya hai
Taweez gandon ke chakkar
Mein baqaya lut gaya hai
Qarooni soch-o-fikar ko
Main zaroor maat dunga
Main bhi zakaat dunga
Main bhi zakaat dunga
Heele na karna ruhaani
Ye maal zar sab hai faani
Allah ki raza hi hai
Teri asli zindgaani
Paison ke fitnon zarar se
Aise nijaat lunga
Main bhi zakaat dunga
Main bhi zakaat dunga
Allah ki ata se
Fuqra ka sath dunga
Main bhi zakaat dunga
Main bhi zakaat dunga