Main Banda-e-Aasi | Hafiz Abu Bakr
Main Banda-e-Aasi | Hafiz Abu Bakr
Qatra maange jo koi usko dariya de de
Mujhko aur nahin bas apni tamannaa de de
Aur main is ehsas ke qabil to nahin hu lekin
Mujhko hamsayeg-e-gumbad-e-khazra de de
Main banda-e-aasi hun khatakar hun maula
Lekin teri rahmat ka talabgar hun maula
Wa-basta hai ummeed meri tere karam se
Tera hun faqat tera parastar hun maula
Main banda-e-aasi hun khatakar hun maula
Lekin teri rahmat ka talabgar hun maula
Bahar ke ujale mujhe kya raah sujhaye
Andar ke andheron me giraftar hun maula
Main banda-e-aasi hun khatakar hun maula
Lekin teri rahmat ka talabgar hun maula
Phir tu mere iman ko tawanai ‘ata kar
Barson nahin sadiyon se main beemar hun maula
Main banda-e-aasi hun khatakar hun maula
Lekin teri rahmat ka talabgar hun maula
Ek tera ishara ho aur asaan ho mushkil
Ek lahar uthe aur main us paar hun maula
Main banda-e-aasi hun khatakar hun maula
Lekin teri rahmat ka talabgar hun maula