Taiba Ke Jane Wale | Owais Raza Qadri
Taiba Ke Jane Wale | Owais Raza Qadri
Ae gumbad-e-khazra ke
Makeen meri madad kar
Ya phir ye bata kaun
Mera tere siwa hai
Taiba ke jane wale
Ja kar bade adab se
Mera bhi qissa-e-gham
Kehana shah-e-‘Arab se
Kehna ke shahe ‘aali
Ek ranj-o-gham ka mara
Dono jahan me iska
Hain aap hi sahara
Halat-e-pur alam se
Hardam guzar raha hai
Aur kanpte labon se
Fariyad kar raha hai
Baar-e-gunah apna
Hai dosh par uthaye
Koi nahin hai aisa
Jo poochhne ko aaye
Bhatka hua musafir
Manzil ko dhoondta hai
Taarikiyon me mah-e-kamil
Ko dhoondta hai
Seene me hai andhera
Dil hai siyah khana
Ye sab meri haqeeqat
Sarkar (saw) ko sunana
Kehana mere Nabi se
Mahroom hun khushi se
Sar par ek abr-e-gham hai
Ashkon se aankh nam hai
Pamal-e-zindagi hun
Sarkar ummati hun
Ummat ke rahnuma ho
Kuchh ‘arz-e-haal sun lo
Fariyad kar raha hun
Main dil figar kab se
Mera bhi qissa-e-gham
Kehna shah-e-‘Arab se
Taiba ke jane wale
Ja kar bade adab se
Mera bhi qissa-e-gham
Kehana shah-e-‘Arab se
Kehna ke kha raha hun
Main thokren jahan me
Tum hi bataao aaqa
Jaaun bhala kahan main
Mahsoos kar raha hun
Duniya hai ek dhoka
Matlab ke yaar hain
Sab koi nahin kisi ka
Kis ko main apna janun
Kis ka main lun sahara
Ae azam-e-madina jakar
Nabi (saw) se kehna
Soz-e-gham-e-‘alam se
Ab jal raha hai seena
Kehna ke dil me laakhon
Arman bhare huye hain
Kehna ke hasraton ke
Nashtar chubhe huye hain
Hai aarzu ye dil ki
Main bhi madine jaaun
Sultan-e-do jahan ko
Sab dagh-e-dil dikhaun
Katun hazar chakkar
Taiba ki har gali ke
Yun hi guzaar dun main
Ayyam zindagi ke
Phoolon ke jaan nisarun
Kanton pe dil ko warun
Zarro ko dun salami
Dar ki karun ghulami
Deewar-o-dar ko choomun
Qadmon pe sar ko rakh dun
Mahboob se lipat kar
Rota rahun barabar
Alam ke dil me hai ye
Hasrat na jane kab se
Mera bhi qissa-e-gham
Kehna shah-e-‘Arab se
Taiba ke jane wale
Ja kar bade adab se
Mera bhi qissa-e-gham
Kehana shah-e-‘Arab se