Haram Ki Muqaddas Fizaon Mein | Anas Younus

Haram Ki Muqaddas Fizaon Mein | Anas Younus

Haram Ki Muqaddas Fizaon Mein | Anas Younus
: :

Haram ki muqaddas fizaon me gum hun
Main jannat ki thandhi hawaon me gum hun

Main begana hokar har ek masiwa se
Bas ek ashna ki wafaon me gum hun

Zabanen jahan gung hain lafz sashdar
tahayuur ki aisi Fizaon ma gum hun

Main kaabe ki be-aab-o-rang pattharon se
Karam ki umadti ghataon me gum hun

Kabhi sang-e-aswad ki kirnon se hairan
Kabhi multazam ki duaon me gum hun

Mukhaffal hain dar lut rahe hain khazane
‘Ata ki nirali ‘adaon me gum hun

Har ek dil se zulmat ke dal chhat rahen hain
Ghilaf-e-siyah ki ziyaon me gum hum

Jo mere gunahon ko bhi dho rahi hai
Main rahmat ki un intehaon me gum hun

Ye mizab-e-rahmat ke pur dard naale
Falak se barasti ‘ataon me gum hun

Ye zamzam ke chashme ye pyason ke jamghat
Zameen se ubalti shifaon me gum hun

Jo is aasta ke lagate hain phere
Main unke junoon ki ‘adaon me gum hun

Khaden hain bhikari tere dar ko thame
Main unki bilakti sadaon me gum hun

Ye seene se uthti nadamat ki aahen
Main un dard-e-dil ki dawaon me gum hun

Ye kaabe ke darbar ye naazon ke pale
Main unki pyari jafaon me gum hun

Tasawur me yadon ki mahfil saji hai
Tahayyul ki dilkash khalaon me gum hun

Abhi sharkh ulfat ki manzil kahan hai
Abhi to taqi ibtedaon me gum hun

Main gum hun, main gum hun, main gum hun
Main jannat ki thandhi hawaon me gum hun