Suno Dastan-e-Muztar | Anas Younus
Suno Dastan-e-Muztar | Anas Younus
Suno dastan-e-muztar zara dil pe hath rakh kar
Ye lahu luhan ka manzar mera sar hai zer-e-khanjar
Mere khoon ka bahr-e-ahmar zara dekhna sambhal kar
Main kali hun na shaghufta meri aarzu shikasta
Main hun ek hosh rafta mera dard raaz basta
Meri hasraton ka manzar zara dekhna sambhal kar
Mere dil me gham nihan hain meri chashme khoonfashan hai
Mere lab pe wo faghan ke falak bhi noha khwan hai
Meri bekasi ka manzar zara dekhna sambhal kar
Ye tadap tadap ke jeena lahu aarzu ka peena
Ye hi mera jam-o-meena yehi mera toor seena
Meri wadiyon ka manzar zara dekhna sambhal
Mere aah ka asar hai mere dard ka samar hai
Ye jahan bhi sang-e-dar hai mere aansuon se tar hai
Meri aashiqi ka manzar zara dekhna sambhal kar
Mera ghamzada jigar hai meri chashm chashm tar hain
Mera bahr khoon se tar hai mera bar lahu se tar hai
Mere bahr-o-bar ka manzar zara dekhna sambhal kar
Wo jo khaliq-e-jahan hai wohi mera razdan hai
Mera haal khud zuban hai mera ishq bezuban hai
Isi bezuban ka manzar zara dekhna sambhal kar
Meri fikr lamakan hai mera dard jaanvida hai
Mera qissah dilistan hai meri rag se khoon rawan hai
Mere khoon ka samandar zara dekhna sambhal kar
Ye karam hai unka Akhtar jo pada hai unke dar par
Koi zakhm hai jigar par gham-e-sham hai sehar par
Meri zindagi ka manzar zara dekhna sambhal kar