Kis Se Maange Kahan Jaayen | Anas Younus
Kis Se Maange Kahan Jaayen | Anas Younus
Kis Se maange kahan jaayen kis se kahen
Aur duniya me hajat rawan kaun hai
Sab ka data hai tu sab ko deta hai tu
Tere bandon ka tere siwa kaun hai
Kaun maqbool hai kaun mardood hai
Be-khabar kya khabar tujhko kya kaun hai
Jab tulenge amal sab ke meezan par
Tab khulenga ke khota-khara kaun hai
Kaun sunta hai fariyad mazloom ki
Kis ke haathon me kunji hai maqsoom ki
Rizq pe kis ke palten hain shahon gada
Musnadara-e-bazm-e-ata kaun hai
Sab ka aaqa hai tu sab ko deta hai tu
Tere bandon ka tere siwa kaun hai
Auliya tere mohtaj ae rabb-e-kul
Tere bande hain sab ambiya our rasool (saw)
Unki izzat ka bayis nisbat teri
Unki pahchan tere siwa kaun hai
Hai khabar bhi wohi mubtada bhi wohi
Nakhuda bhi wohi hai khuda bhi wohi
Jo hai sare jahanon me jalwa numa
Us ahad ke siwa doosra kaun hai
Sab ka data hai tu sab ko deta hai tu
Tere bandon ka tere siwa kaun hai
Ambiya auliya ahl-e-bait-e-nabi
Tabeenon sahaba pe jab aa bani
Gir ke sajde me sab ne yahi arz ki
Tu nahin hai to mushkil-kusha kaun hai
Sab ka data hai tu sab ko deta hai tu
Tere bandon ka tere siwa koun hai
Ahl-e-fiqron nazar jante hain tujhe
Kuchh na hone pe bhi maante hain tujhe
Ae naseer is ko tu fazle baari samajh
Warna teri taraf dekhta kaun hai
Kis Se maange kahan jaayen kis se kahen
Aur duniya me hajat rawan kaun hai
Sab ka data hai tu sab ko deta hai tu
Tere bandon ka tere siwa kaun hai