Badr Ud Duja | Anas Younus
Badr Ud Duja | Anas Younus
Badr-ud-duja, Shams-uz-zuha
Noor-ul-huda, Sabr-o-wafa
Noor-e-chasham, Jameel-o-shiyam
Waran-ul-maran, Lutf-o-ata
Na izzat na shohrat na zar chahiye
Mujhe aap ki khak-e-dar chahiye
Isi dar pe ek bar aane ke baad
Na palten kabhi aisa dil chahiye
Noor-e-mujassam, Fakhr-e-do alam
Shafi-ul-umam, Waris-e-zamzam
Haadi-e-akram, Mune se aadam
Qibla-e-alam, Judo karam
Mera phir muqaddar sawanr jayega
Mujhe aap ki ek nazar chahiye
Fiza-e–iram mujh ko bhati nahin
Madine ki sham-o-sahar chahiye
Ahasan-o-ajmal, Ahmad-e-mursal
Sahib-e-mehshar, Saqi-e-kausar
khulq-e-khaleeli, Shan-e-kaleemi
Muzammil mudassir, Sabir-o-shakir
Tu hubb-e-nabi le ke taiba ko chal
Agar tujh ko zaad-e-safar chahiye
Anas ab kisi shai ki hajat nahin
Madine ki janib safar chahiye
Anjum-e-taaba, Maah-e-firoza,
Noor-e-badama, Subh-e-darakhshan,
Daai illallah, Siraj-un-muneera
Yaseen-o-taseen, Taaha wa hameem
Sarwar-e-konain salar hone
Mahmood-o-qasim, Rasool-ul-malahim