Ilahi Main Hun Bas Khatawar Tera | Anas Younus

Ilahi Main Hun Bas Khatawar Tera | Anas Younus

Ilahi Main Hun Bas Khatawar Tera | Anas Younus
: :

Ilahi main hun bas khatawar tera
Mujhe bakhsh hai naam ghaffar tera

Ilahi bata chhor sarkar teri
Kahan jayen ab banda laachar tera

Maraz la-dawa ki dawa kis se chahun
Tu shafi hai mera main beemar tera

Ilahi main sab chhor ghar-bar apna
Liya hai pakad ab to darbar tera

Siwa tere koi nahin apna ya rab
Tu maula hai main abd bekar tera

Kahan jayen jiska nahin koi tujh bin
Kise dhoondhen jo ho talabgar tera

Rahega na kuchh naqd isiyan se mera
Lagega jo rahmat ka bazar tera

Ilahi main bas hun khatawar tera
Mujhe bakhsh hai naam ghaffar tera

Sada khwab ghaflat me sota rahun main
Na ek dam hua aah bedar tera

Chala naksh-o-shaitan ke ahkam par main
Na mana koi hukm zinhar tera

Meri mushkilen hongi aasan yak dam
Jo howe karam mujh pe ek bar tera

Khabar li jo us din bhi meri ilahi
Khule jab ke bakhshish ka bazar tera

Gunah mere had se zyada hain ya rab
Mujhe chahiye raham bas yaar tera

Koi tujh se kuchh koi kya chahta hai
Main tujh se ya rab talabgar tera

Ilahi ho meri munajaat maqbool
Ke radd kar na hargiz nahin kar tera

Ilahi main hun bas khatawar tera
Mujhe bakhsh hai naam ghaffar tera