Jeena Hai | Junaid Jamshed
Jeena Hai | Junaid Jamshed
Jeena hai jeena hai jeena hai
Tera hoke hai jeena hai jeena hai
Yaar rahe ya rab tu mera
Aur main tera yaar rahun
Mujhko faqat rahe tujh se mohabbat
Khalq se main bezar rahun
Har dam zikr-o-fikar me tere
Mast rahun sarshar rahun
Hosh rahe na mujh ko kisi ka
Tera magar hoshiyar rahun
Ab rahe bas ta dam-e-akhir
Wird-e-zuban ae mere ilah
La ilaha illallah, La ilaha illallah
La ilaha illallah, La ilaha illallah
Tere siwa maabood-e-haqiqi
Koi nahin hai koi nahin
Tere siwa maqsood-e-haqiqi
Koi nahin hai koi nahin
Tere siwa maujood-e-haqiqi
Koi nahin hai koi nahin
Tere siwa mashood-e-haqiqi
Koi nahin hai koi nahin
Ab to rahe bas ta dam-e-akhir
Wird-e-zuban ae mere ila
La ilaha illallah, La ilaha illallah
La ilaha illallah, La ilaha illallah
Dono jahan me jo kuchh bhi hai
Sab hai tere zere nagin
Jinn-o-ins-o-hoor-o-malayek
Arsh-o-kursi charkhon zameen
Kauno makan me layek sajdah
Tere siwa ae noor-e-mubin
Koi nahin hai koi nahin hai
Koi nahin hai koi nahin hai
Ab to rahe ta dam-e-akhir
Wird-e-zuban ae mere ilah
La ilaha illallah, La ilaha illallah
La ilaha illallah, La ilaha illallah
Jeena hai jeena hai jeena hai
Tera hoke hai jeena hai jeena hai
Yaad me teri sab ko bhula dun
Koi na mujh ko yaad rahe
Tujh par sab ghar baar luta dun
Khana-e-dil abaad rahe
Sab khushiyon ko aag laga dun
Gham se tere dilshad rahe
Sab ko nazar se apni gira dun
Tujh se faqat fariyad rahe
Ab to rahe ta dam-e-akhir
Wird-e-zuban ae mere ilah
La ilaha illallah, La ilaha illallah
La ilaha illallah, La ilaha illallah