Ya Ibad ur Rahman | Junaid Jamshed
Ya Ibad ur Rahman | Junaid Jamshed
Ho halqah yaran to baresham ki tarah naram
Barazm-e-haq wa batil ho to faulad hai momin
Aflak se iski harifana kashakash
Khaki hai magar khak se azad hai momin
Har lehza hai momin ki nayi shan nayi aan
Guftar me kirdar me Allah ki burhan
Allah ki burhan ya ibad-ur-Rahman
Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabroot
Ye char anasir hon to banta hai musalman
Allah ki burhan ya ibad-ur-Rahman
Ham saya-e-Jibrail (as) ameen banda-e-khaki
Hai iska nasheman na bukhara na badakhshan
Ye raaz kisi ko nahin maaloom ke momin
Qari nazar ata hai haqeeqat me quran
Allah ki burhan ya ibad-ur-Rahman
Qudrat ke makasid ka ayar iske irade
Duniya me bhi mizan qayamat me bhi mizan
Jisse jigare lalah me thandhk ho wo shabnam
Dariyaon ke dil jisse dahal jayen wo toofan
Allah ki burhan ya ibad-ur-Rahman
Fitrat ke sarud-e-azli iske shab-o-roz
Aan-hamd me yakta sifat-e-surah-e-Rahman
Bante hain meri kargahe fikr me anjum
Le apne muqaddar ke sitare ko tu pahchan
Allah ki burhan ya ibad-ur-Rahman