Kamli Wale | Junaid Jamshed
Kamli Wale | Junaid Jamshed
Na mai ajami na hindi na iraqi or ijazi
Ke khudi se maine seekhi do jahan se be-neyazi
Tu meri nazar me kafir main teri nazar me kafir
Tera deen nafs shumari mera deen nafs gudazi
Do alam tumhara hua kamli wale
Ke tum ho habib-e-khuda kamli wale
Tumhari kitab aur deen aakhri hai
Ke khatm-ul-ambiya kamli wale
Do alam tumhara hua kamli wale
Ke tum ho habib-e-khuda kamli wale
Banaye gaye wo aur fi-ul-muratib
Qadam bos unke hi arzon sama hain
Agar wo na ate to kuchh bhi na hota
Wajood-e-do alam wo hi Murtaza hain
Qadam pad gaye jab jahan me tumhare
To barqat ka dar khul gaya kamli wale
Do alam tumhara hua kamli wale
Ke tum ho habib-e-khuda kamli wale
Idhar farsh nazaan udhar arsh shaadan
Ke meraj me afzal-ul-ambiya hain
Farishte khade har taraf saf-ba-saf hain
Mulaqat rab ko chalen Mustafa (saw) hain
Na jana kisi ne na janega koi
Maqam-e-mualla tera kamli wale
Do alam tumhara hua kamli wale
Ke tum ho habib-e-khuda kamli wale
Tumhari kitab aur deen aakhri hai
Ke ho khatm-ul-ambiya kamli wale
Sahaab-e-karam our maqam-e-ijabat
Maqam-e-dua hain madeene ki galiyan
Basharat ho beemar badte chalo tum
Ke darussyifa hain madeene ki galiyan
Fazal se hame apne pahuncha de ya rab
Hamari dawa hai madeene ki galiyan
Do alam tumhara hua kamli wale
Ke tum ho habib-e-khuda kamli wale
Tumhari kitab aur deen aakhri hai
Ke ho khatm-ul-ambiya kamli wale
Tamam ambiya aap ke muqtadi hain
Imamat tera martaba kamli wale
Do alam tumhara hua kamli wale
Ke tum ho habib-e-khuda kamli wale
Teri barkaten naksh-e-paa kamli wale
Yahan par tera martaba kamli wale
Do alam tumhara hua kamli wale
Ke tum ho habib-e-khuda kamli wale