Ilahi La Tu Azzibini | Junaid Jamshed
Ilahi La Tu Azzibini | Junaid Jamshed
Badal ke bhes phir aate hain har zamane me
Agarche peer hain adam jawan hain lat-o-manat
Ye ek sajda jise tu giran samajhta hai
Hazar sajde se deta hai adami ko najat
Khuda wanda main sartapa khata hun
Aseer-e-panja-e-hirs-o-hawa hun
Faqeeron khaksar-o-benawan hun
Bura hun par tere dar ka gada hun
Ilahi la tu Azzibini fa inni
Muqir run billazi qad kana minni
Ilahi tu Raheem-e-bekasan hai
Ilahi teri rahmat bekaran hai
Ilahi tu hi khallaq-e-jahan hai
Ilahi tujh pe sadqe jaan hai
Dil-o-jaan hai
Ilahi la tu Azzibini fa inni
Muqir run billazi qad kana minni
Ilahi mujh pe rahmat ki nazar kar
Mere aibon pe yarab darguzar kar
Shab-e-tariq dil me tu sahar kar
Kareem tu hai aur banda parwar
Ilahi la tu Azzibini fa inni
Muqir run billazi qad kana minni
Siwa tere nahin hai koi mera
meri jaan bhi hai teri dil bhi tera
Siyah bakhti ne aake dil ko ghera
Hai saya gunahon ka ghanera
Baqa tujh ko hai hasil main hun faani
Tere qabze me meri zindgani
Nadamat se hun yarab pani pani
Khudaya main tera banda hun saani
Ilahi la tu Azzibini fa inni
Muqir run billazi qad kana minni