Wo Nabiyon Me Rehmat | Junaid Jamshed
Wo Nabiyon Me Rehmat | Junaid Jamshed
Apni Millat Par Qayas Aqwam-e-Maghrib Se Na Kar
Khas Hai Tarkeeb Mein Qaum-e-Rasool-e-Hashmi
Un Ki Jamiat Ka Hai Mulk-o-Nasab Par Inhasar
Quwwat-e-Mazhab Se Mustahkam Hai Jamiat Teri
Ya rabbi Mustafa (saw) balligh maqasidna
Waghfirlana ma madho ya wasi’al karim
Ya bare an nasmi
Wo nabiyon me rahmat laqab pane wala
Muraden gharibon ki bar lane wala
Museebat me ghairon ke kaam aane wala
Wo apne paraye gham khane wala
Faqiron ka malja zaifaon ka mawa
Yatimon ka wali ghulamon ka maula
Khatakar se darguzar karne wala
Badan desh ke dil me ghar karne wala
Mafasid ka zer-o-zabar karne wala
Qabail ko shir-o-shakar karne wala
Utar kar hira se suye qaum aya
Aur ek nukhsay-e-kimiya sath laya
Masaikham ko jisne kundan banaya
Khara aur khota alag kar dikhaya
Arab jis pe karno se tha juhun chhaya
Palat di bas ik aan me unki kaya
Raha dar na pede ko mauje bala ka
Idhar se udhar phir hua rukh hawa ka
Wo fakhr arab zeb mehrab membar
Tamam ahl-e-makkah ko hamrah le kar
Gaya ek din hasb-e-farman dawar
Suye dasht aur chadh ke koh-e-safa par
Ye farmaya sabse ke ae aal-e-halib
Samajhte ho tum mujhko sadiq ke qazib
Kaha sab ne qaul aj tak koi tera
Kabhi hamne jhuta suna aur na dekha
Kaha gar samjhte ho tum mujhko aisa
To bawar karoge agar main kahunga
Ke fauj-e-giran pusht kohe safa par
Padi hai ke loote tumhe ghat pa kar
Kaha teri har bat ka yun yaqin hai
Ke bachpan se sadiq hai tu aur ameen hai
Kaha agar meri baat ye dilnashin hai
To sunlo khilaf isme islah nahin hai
Ke sab kafila hai yahan se jane wala
Daro us se jo waqt hai ane wala
Balaghul Ula Bi Kamalihi
Kashafaduja Bi Jamalihi
Hasunat Jameeu Khisalihii
Sallo Alaihi Wa Aalihi [SAW]