Mujhe Zindagi Me | Junaid Jamshed
Mujhe Zindagi Me | Junaid Jamshed
Kyun chaman be sada misl rim-e-shabnam hai tu
Lab kusha ho ja sarud-e-be rabte ‘alam hai tu
Mujhe zindagi me ya rab
Sar-e-bandagi ata kar
Mere dil ki be hisi ko
Gham-e-ashiqi ata kar
Tere dard ki chamak ho
Teri yaad ki kasak ho
Mere dil ki dhadkano ko
Nayi be kali ata kar
Jo tujh hi se lau laga de
Jo mujhe mera pata de
Mere ahad ki zuban me
Mujhe gum rahi ata kar
Jo dilon me noor kar de
Wo hi roshni ata kar
Meri zindagi me ya rab
Main safar me so na jaaun
Main yahin pe kho na jaaun
Mujhe zoq-o-shauq-e-manzil
Ki hama hami ata kar
Badi door hai abhi tak
Rag-e-jaan ki musafat
Jo diya hai qurb tune
To shaoor bhi ata kar
Mere qalb ko wo faize
Dar-e-arfi ata kar
Mujhe zindagi me ya rab
Bhari anjuman me rah kar
Na hun ashna kisi se
Mujhe doston ke jhurmat me
Wo be kasi ata kar
Mujhe teri justuju ho
Mere dil me tu hi tu ho
Mere qalb ko wo
Faiz-e-dar-e-‘arfi ata kar
Jo dilon me noor kar de
Wo hi roshni ata kar
Mujhe zindagi me ya rab
Sar-e-bandagi ata kar
Mujhe zindagi me ya rab
Sar-e-bandagi ata kar
Mere dil ki be hisi ko
Gham-e-ashiqi ata kar