Kismat Se Mil Gai Hai | Anas Younus

Kismat Se Mil Gai Hai | Anas Younus

Kismat Se Mil Gai Hai | Anas Younus
: :

Qismat se mil gai hai
Qiyadat huzoor (saw) ki
Allah ka karam hai
Inaayat huzoor ki

Qismat se mil gai hai
Qiyadat huzoor (saw) ki

Bhar li hai har gada ne
Sa’adat se jholiyan
Nagri rahe hamesha
Salamat huzoor ki

Qismat se mil gai hai
Qiyadat huzoor (saw) ki

Kya sabz sabz gumbad
Kya khoob hain nazare
Hai kis qadar suhani
Ho kis qadar suhani
Ye jali pyari pyari

Allah ne bulake
Madina dikha diya
Hogi mujhe naseeb
Shafa’at huzoor ki

Qismat se mil gai hai
Qiyadat huzoor (saw) ki

Rabb-e-kareem
Shan-e-kareemi ka wasta
Jannat me ho naseeb
Rafaqat Huzoor ki

Qismat se mil gai hai
Qiyadat huzoor (saw) ki

Qayamat me Sarkar ayen
To main qadmon me girun
Gar farishte bhi uthayen
To main un se yun kahun

Ab to paa-e-naal se main
Ae farishton kyun uthun
Mar ke main pahuncha yahan
Is dilruba ke waste

Ya Rab dikhade aaj ke
Shab jalwa-e-Habib
Ek bar to ata ho
Ziyarat huzoor ki

Qismat se mil gai hai
Qiyadat huzoor (saw) ki

Apni badhali se ye kehte
Bhi sharmate hain ham
Jaa pade qadmon pe unke
Jinke kehlate hain ham

Aapka jab zikr chhidta
Hai kisi unwan se
Goshe bhar aawaz bazm-e-do
Jahan pate hai ham

Hadim ka zikr kya wo
Zamana guzar gaya
Jari hai aaj tak bhi
Sakhawat huzoor ki

Qismat se mil gai hai
Qiyadat huzoor (saw) ki

Qurban ham us pe wo
Hame mahboob kyun na hon
Imaan hai khuda pe
Amanat Huzoor ki

Qismat se mil gai hai
Qiyadat huzoor (saw) ki

Koi aalam ho unhin ka
Naam ho wird-e-zuban
Ek hi naghma hai jise har
Saaz par gaate hain ham

Zindagi ki har kathan
Manzil pe jab bhi dekhiye
Aap ke naksh-e-qadam ko
Rahnuma pate hain ham

Abu Bakr (ra) aur Umar (ra)
Pe ye inaam khatm hai

Ke har aan mil rahi hai
Sa’adat huzoor ki

Qismat se mil gai hai
Qiyadat huzoor (saw) ki

Kaifi khuda naseeb kare
Apne fazl se
Ulfat ke saath saath
Ita’at huzoor ki

Qismat se mil gai hai
Qiyadat huzoor (saw) ki
Allah ka karam hai
Inayat huzoor ki

Qismat se mil gai hai
Qiyadat huzoor (saw) ki