Husn-e-Mustafa (saw) | Anas Younus
Husn-e-Mustafa (saw) | Anas Younus
Tumhare rukh pe jami hain aankhen
Main kaise rukh se hataun ankhiyan
Qasam khuda ki bare haseen ho
Main kaise aakhir milaun ankhiyan
Namaz parhne ko main tha aaya
Tumhen jo dekha to parhli maine
Tumhari soorat hai mere aage
Main kaise apni jhukaun akhiyan
Qasam khuda ki bare haseen ho
Jahan bhi jaun jidhar bhi dekhun
Tumhare charche tumhare jalwe
Tumhi base ho meri nazar mein
Kisi ko kyun mai dikhaun ankhiyan
Qasam khuda ki bare haseen ho
Yeh baat hakim main sochta hun
Ke khud musawwir ne poocha hoga
Main naqshe tere bana raha hun
Batao kaisi banaaun akhiyan
Wa ahsanu minka lam tara qattu aini
Wa ajmalu minka lam talidin nissa’u
Khuliqta Mubarra’ an min Kulli aibin
Ka-anna-ka qad khuliqta kama tasha’u
Main naqshe tere bana raha hun
Batao kaisi banaaun akhiyan
Qasam khuda ki bare haseen ho
Main kaise aakhir milaun ankhiyan