Lahu Me Tar | Fahad Shah

Lahu Me Tar | Fahad Shah

Lahu Me Tar | Fahad Shah
: :

Lahu me tar Nabi (saw) ka jism athar yaad aata hai
Tadap jata hun jab Taef ka manzar yaad aata hai
Musalmano zara socho hai kya paya hai kya khoya

Musalman raat din sargarm hain mahlon ki khwahish me
Kise Sarkar-e-do ‘alam ka ab ghar yaad aata hai
Musalmano zara socho hai kya paya hai kya khoya

Lahu me tar Nabi (saq) ka jism athar yaad aata hai
Tadap jata hun jab Taef ka manzar yaad aata hai

Musalmano ko neend aati hai ab makhmal ke gaddon par
Rasoolullah (SAW) ka ab kisko bistar yaad aata hai
Musalmano zara socho hai kya paya hai kya khoya

Lahu me tar Nabi (saw) ka jism athar yaad aata hai
Tadap jata hun jab Taef ka manzar yaad aata hai

Musalmano ki kasrat par badi hairat si hoti hai
Mujhe jab 313 Ka lashkar yaad aata hai
Musalmano zara socho hai kya paya hai kya khoya

Lahu me tar Nabi (saw) ka jism athar yaad aata hai
Tadap jata hun jab Taef ka manzar yaad aata hai

Wahi maaloom hota hai sarapa bagh jannat ka
Mujhe mansoor jab shahr-e-payamber yaad aata hai