Dard Unka | Fahad Shah
Dard Unka | Fahad Shah
Dard unka mohabbat ke bazar se
Apna dil apni jaan bech kar le liya
Chand sooraj mere baam-o-dar ho gaye
Unke qadmon me jis din se ghar le liya
Mera dil Mustafa (saw) mera gham Mustafa
Mera sab kuchh khuda ki qasam Mustafa
Hashr ke waste qabr ke waste
Chahiye jitna rakht-e-safar le liya
Chand sooraj mere baam-o-dar ho gaye
Unke qadmon me jis din se ghar le liya
Aaye jab wo tamannaaon ke ghaul me
Kaaynat aa gayi mere kashkol me
Ek nazar sirf unhen dekhne ke liye
Sari duniya ka husn-e-nazar le liya
Dard unka mohabbat ke bazar se
Apna dil apni jaan bech kar le liya
Chand sooraj mere baam-o-dar ho gaye
Unke qadmon me jis din se ghar le liya
Saltanat se bhi ‘ala gadayi mili
Unka qaidi hua to rihai mili
Rahmaton ki sifarish pe taqdeer ne
Mera har ek jurm apne sar le liya
Chand sooraj mere baam-o-dar ho gaye
Unke qadmon me jis din se ghar le liya
Kuchh na kuchh ham bhi hain unki danist me
Naam apna bhi hai unki fahrist me
Ab na rokega Rizwan-e-jannat hame
Un se parwana-e-rahguzar le liya
Dard unka mohabbat ke bazar se
Apna dil apni jaan bech kar le liya
Zindagi jab se apni thikane lagi
Yaad jab se Mohammad (saw) ki aane lagi
Tishnagi hauz-e-kausar pe jane lagi
Maasiyat ne bhi jannat me ghar le liya
Chand sooraj mere baam-o-dar ho gaye
Unke qadmon me jis din se ghar le liya
Unki kamli Muzaffar utha kar chalun
Khak-e-paa patliyon par utha kar chalun
Qatlgahon me bhi sar utha kar chalun
Hosla unse aisa nidar le liya
Dard unka mohabbat ke bazar se
Apna dil apni jaan bech kar le liya
Chand sooraj mere baam-o-dar ho gaye
Unke qadmon me jis din se ghar le liya