Maqam-e-Mohammad (saw) | Hafiz Abu Bakr

Maqam-e-Mohammad (saw) | Hafiz Abu Bakr

Maqam-e-Mohammad (saw) | Hafiz Abu Bakr
: :

Agar hai madina qayam-e-Mohammad (saw)
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Kare gharq toofan hame ghair mumkin
Likha hai safeene pe naam-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Agar hai madina qayam-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Rahega abad tak hukm-e-ilahi
Zamane me jari nizam-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Agar hai madina qayam-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Chalo sar ke bal peene walon madina
Nahin kam hai kausar se jam-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Agar hai madina qayam-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Ghulamon yateemon ki qismat palat di
Suna jab jahan ne kalam-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Agar hai madina qayam-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Bahut nazm bigde bane aur bigde
Atal hai magar intezam-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Agar hai madina qayam-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Unhen fakhr ‘Isa Nabi par hai hoga
Kahe qumbe izni ghulam-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Agar hai madina qayam-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Chalo unke naqsh-e-qadam par musalman
Yahi hai azeez ehteram-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad

Agar hai madina qayam-e-Mohammad
To arsh-e-bari bhi maqame-e-Mohammad