Thehar Aye Qalb | Hafiz Abu Bakr
Thehar Aye Qalb | Hafiz Abu Bakr
Thehar ae qalb muztar
Is qadar tu kyun machalta hai
Tasawwur bas abhi ek noor
Ke sanche me dhalta hai
Tamanna jaag uthti hai
Sukun pahlu badalta hai
Azeez bas Mohammad (saw)
Jab mere dil se nikalta hai
Thehar ae qalb muztar tu
Is qadar kyun machalta hai
Tasawwur bas abhi ek noor
Ke sanche me dhalta hai
Numaya door se hota hai
Jis dam gumbad-e-khazra
Khushi ki intaha ye hai
Ki dil hathon uchhalta hai
Thehar ae qalb muztar tu
Is qadar kyun machalta hai
Tasawwur bas abhi ek noor
Ke sanche me dhalta hai
Zah-e-qismat sunahri
Jaliyon ki deed hoti hai
Salam-e-shafi-e-mahshar
Mere dil se nikalta hai
Thehar ae qalb muztar tu
Is qadar kyun machalta hai
Tasawwur bas abhi ek noor
Ke sanche me dhalta hai
Tamanna-e-ziyarat dil ko
Phir bechain karti hai
Khuda hi jane kab tak
Guncha-e-ummeed khilta hai
Thehar ae qalb muztar tu
Is qadar kyun machalta hai
Tasawwur bas abhi ek noor
Ke sanche me dhalta hai
Wo jinka martaba hai
Kaba-o-qausain se aage
Mera dil bas unhin ki
Atish-e-furqat me jalta hai
Thehar ae qalb muztar tu
Is qadar kyun machalta hai
Tasawwur bas abhi ek noor
Ke sanche me dhalta hai
Azal hi se azeeze be nawa ke
Khana-e-dil me
Ziya-e-shamm-e-Ahmed hai
Charagh-e-toor jalta hai
Thehar ae qalb muztar tu
Is qadar kyun machalta hai
Tasawwur bas abhi ek noor
Ke sanche me dhalta hai