Koi Kaise Samajh Payega | Hafiz Abu Bakr

Koi Kaise Samajh Payega | Hafiz Abu Bakr

Koi Kaise Samajh Payega | Hafiz Abu Bakr
: :

Koi kaise samajh payega
Rutba sabz gumbad ka
Ke khutaba padh raha hai
Khud hi kaaba sabz gumbad ka

Koi kaise samajh payega
Rutba sabz gumbad ka

Jo poochha maine jannat se
Teri bhi koi jannat hai
To jannat ne diya mujhko
Hawala sabz gumbad ka

Koi kaise samajh payega
Rutba sabz gumbad ka

Badi hasrat se takti hai
Nigahen aasman isko
Zameen ne jab se bandha hai
Imama sabz gumbad ka

Koi kaise samajh payega
Rutba sabz gumbad ka

Hare patton ko aksar
Dekh kar mahsoos hota hai
Darakhton ne saja rakha ho
Tughra sabz gumbad ka

Koi kaise samajh payega
Rutba sabz gumbad ka

Chale aaye yahan khich khich ke
Aashiq sabz gumbad ke
Asad ne jis ghadi chheda
Tarana sabz gumbad ka

Koi kaise samajh payega
Rutba sabz gumbad ka
Ke khutaba padh raha hai
Khud hi kaaba sabz gumbad ka