Maut Ki Aaghosh Me Jab | Fahad Shah
Maut Ki Aaghosh Me Jab | Fahad Shah
Maut ki aaghosh me jab thak kar so jati hai maa
Tab kahin ja karke thoda sa sukoon pati hai maa
Rooh ke rishte ki ye gahraiyan to dekhiye
Chot lag jati hai hamko aur chillati hai maa
Tab kahin ja karke thoda sa sukun pati hai maa
Maa maa maa pyari pyari maa
Maut ki aaghosh me jab thak kar so jati hai maa
Tab kahin ja karke thoda sa sukoon pati hai maa
Mangti hai kuchh nahin apne liye Allah se
Apne bacchhon ke liye daman ko phailati hai maa
Tab kahin ja karke thoda sa sukun pati hai maa
Maa maa maa pyari pyari maa
Maut ki aaghosh me jab thak kar so jati hai maa
Tab kahin ja karke thoda sa sukoon pati hai maa
Pyar kahte hain kise aur mamta kya cheez hai
Koi un bacchhon se poochhe jin ki mar jati hai maa
Tab kahin ja karke thoda sa sukun pati hai maa
Maa maa maa pyari pyari maa
Maut ki aaghosh me jab thak kar so jati hai maa
Tab kahin ja karke thoda sa sukoon pati hai maa
Chahe ham khushiyon me maa ko bhool jayen doston
Jab museebat sar pe aati hai to yaad aati hai maa