Aakhir Maut Hai | Fahad Shah
Aakhir Maut Hai | Fahad Shah
Ye ‘aalam aish-o-‘ishrat ka
Ye halat kaif-o-masti ki
Buland apna takhayyul kar
Ye baten sab hai pasti ki
Jahan dar asl virana hai
Go soorat hai basti ki
Bas itni si haqeeqat hai
Fareb-e-khwab hasti ki
Ke ankhen band hon aur
Aadmi afsana ban jaye
Ek din marna hai akhir maut hai
Kar le jo karna hai akhir maut hai
Tune mansab bhi jo paya to kya
Dabdaba apna bhi dikhlaya to kya
Ganj si mauzar bhi hath aya to kya
Qasr aalishan bhi banwaya to kya
Ek din marna hai akhir maut hai
Kar le jo karna hai akhir maut hai
Aakhrat ki fikr karni hai zaroor
Jaisi karni waisi bharni hai zaroor
Umr ye ek din guzarni hai zaroor
Qabr me mayyat utarni hai zaroor
Ek din marna hai akhir maut hai
Kar le jo karna hai akhir maut hai
Bahr-e-ghaflat ye teri hasti nahin
Dekh jannat is qadar sasti nahin
Rahguzar duniya hai ye basti nahin
Ja aish-o-ishrat-o-masti nahin
Ek din marna hai akhir maut hai
Kar le jo karna hai akhir maut hai
Husn-e-zahir par agar tu jayega
Aalm-e-fani se dhokha khayega
Ye munakkash saanp hai das jayega
Rah na ghafil yaad rakh pachhtayega
Ek din marna hai akhir maut hai
Kar le jo karna hai akhir maut hai
Aish-o-ishrat ke liye insan nahin
Yaad rakh tu banda hai mehman nahin
Ghaflat-o-masti tujhe shayan nahin
Bandagi kar tu agar nadan nahin
Ek din marna hai akhir maut hai
Kar le jo karna hai akhir maut hai
Dar-e-duniya ki sajawat par na ja
Nekiyon se apna asli ghar saja
Phir wahan bas chain ki bansi baja
Innha hu qad faza fauzam man naja
Ek din marna hai akhir maut hai
Kar le jo karna hai akhir maut hai