Ye Subh-e-Madina | Junaid Jamshed

Ye Subh-e-Madina | Junaid Jamshed

Ye Subh-e-Madina | Junaid Jamshed
: :

Ye subh-e-madina ye sham-e-madina
Mubarak tujhe ye qayam-e-madina

Madina madina madina madina
Nabi (saw) ka shahar hai ye shahr-e-madina

Mubarak tujhe ho ae arz-e-madina
Nabi (saw) ka shahar hai ye shahr-e-madina

Tere paas jab sayyad-e-do jahan hain
Na kyun rashk-e-aflak ho phir madina
Madina madina madina madina

Ye subh-e-madina ye sham-e-madina
Mubarak tujhe ye qayam-e-madina

Madina madina madina madina
Nabi (saw) ka shahar hai ye shahr-e-madina

Tere sabz gumbad pe ‘alam fida hai
Falak jaise choome zameen-e-madina

Tera zarrah zarrah nishan-e-Nabi (saw) hai
Fida tujh pe main khak shahr-e-madina

Ye subh-e-madina ye sham-e-madina
Mubarak tujhe ye qayam-e-madina

Madina madina madina madina madina
Nabi (saw) ka shahar hai ye shahr-e-madina

Ohad ke ye daman me khoon-e-shaheedan
Sabaq de raha hai wafa-e-madina

Nishani hai islam ki ‘azmaton ki
Sahaba (ra) ke qadmon se khak-e-madina

Wafadariyon par sahab ki akhtar
Hai tareekh roshan ye shahr-e-madina

Ye subh-e-madina ye sham-e-madina
Mubarak tujhe ae arz-e-madina