Ilahi Teri Chaukhat Par | Junaid Jamshed
Ilahi Teri Chaukhat Par | Junaid Jamshed
Ilahi Teri Chaukhat Par Bhikhari Ban Ke Aya Hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon
Bhikhari wo ke jiske paas jholi hai na pyala hai
Bhikhari wo jise hirs-o-hawas ne maar dala hai
Mataa-e-deen-o-danish nafs ke hathon se lutwa kar
Sukoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent chadhwa kar
Luta kar saari poonji ghaflat-o-isyaan ki daldal me
Sahara lene aya hoon tere kaabe ke aanchal me
Gunahon ki lipat se qaynat-e-qalb afsurda,
Irade muzmahil, himmat shikasta, housle murda
Kahan se laaun taqat dil ki sachhi tarjumani ki
Ke kis jhanjhal me guzri hain ghadiyan zindgani ki
Khulasa ye ke bas jal bhun ke apni roo-siyahi se
Sarapa faqr ban kar apni halat ki tabahi se
Tere darbar me laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke layaq har amal se hath hain khali
Ye tera ghar hai tere mehr ka darbar hai maula
Sarapa noor hai ek mohabbat-e-anwaar hai maula
Teri chokhat ke jo adaab hain main un se khali hun
Nahi jisko saleeqa mangne ka wo sawaali hoon
Zuban ghalt-e-nadamat dil ki nakas tarjumaani per
Khudaya raham meri iss zabaan-e-ijz-zabani par
Ye aakhen khushk hain, yaa rab inhe rona nahi aata
Sulagte daag hain dil me, jinhe dhona nahi aata
Ilahi teri chokhat per bhikhari ban ke aya hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon
Ilahi teri chokhat per bhikhari ban ke aya hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon