Hardam Karunga Ae Mere Bari | Fahad Shah
Hardam Karunga Ae Mere Bari | Fahad Shah
Hardam karunga ae mere bari
Allah hu Allah Allah hu Allah
Jab saans lun main ho jari jari
Allah hu Allah Allah hu Allah
Banaunga apne nafs sarkash ko
Ab to ya rab ghulam tera
Main chhor kar sab karobar sare
Karunga har waqt kaam tera
Kiya karunga bas ab ilahi
Zikar hi subh aur sham tera
Jamaunga dil me yaad teri
Ratunga din raat naam tera
Hardam karunga ae mere bari
Allah hu Allah Allah hu Allah
Jab saans lun main ho jari jari
Allah hu Allah Allah hu Allah
Raha main din raat ghaflaton me
Bas yun hi zindagi guzari
Kiya na kuchh kaam akhirat ka
Kati gunahon me umr sari
Bahut dinon maine sarkashi ki
Magar hai ab sakht sharmsari
Main sar jhukata hun mere maula
Main tauba karta hun mere bari
Hardam karunga ae mere bari
Allah hu Allah Allah hu Allah
Jab saans lun main ho jari jari
Allah hu Allah Allah hu Allah
Main deen lunga main deen lunga
Na lunga main zeen-e-har-e-duniya
Dikha ke naqsh aur nigar apne
Lubhaye mujhko hazar duniya
Ise main khoob azma chuka hun
Bahut hai be aitbar duniya
Lagaunga isse dil na hargiz
Ye char din ki hai yaar duniya
Hardam karunga ae mere bari
Allah hu Allah Allah hu Allah
Jab saans lun main ho jari jari
Allah hu Allah Allah hu Allah
Butan-e-dilbar to sainkdo hain
Magar koi bawafa nahin hai
Warood aur layaq-e-mohabbat
Faqat hai tu dusra nahin hai
Koi tere zikr ka barabar
Maze ki shai ae khuda nahin hai
Maze ki cheeze hain go hazaron
Kisi me aisa maza nahin hai
Hardam karunga ae mere bari
Allah hu Allah Allah hu Allah
Jab saans lun main ho jari jari
Allah hu Allah Allah hu Allah