Jab Main Kahun | Junaid Jamshed
Jab Main Kahun | Junaid Jamshed
Soofi ki tareeqat me faqat masti-e-ahwaal
Mulla ki shari’at me faqat masti-e-guftar
Shayer ki nawa murdah-o-afsurdah-o-be zauq
Afkar me sarmast na khawabeedah na bedaar
Wo mard-e-mujahid nazar aata nahin mujhko
Ho jiske rag-o-pai me faqat masti-e-kirdar
Allah humma Salli ‘Ala Muhammadin wa aalihi
Wa barik wa sallim
Jab main kahoon Muhammad(saw)
Salli ‘ala kaho tum
Kair-ul-bashar kahun main
Khair-ul-waran kaho tum
Aashob-e-zindagi me
Taskeen-e-dil ki khatir
Roo-e-Nabi kahun main
Shan-e-khuda kaho tum
Khair-ul-bashar kahun main
Khair-ul-waran kaho tum
Jab main kahoon Muhammad(saw)
Salli ‘ala kaho tum
Allah humma Salli ‘Ala Muhammadin wa aalihi
Wa barik wa sallim
Wo rashk-e-ambiya hain
Wo fakhr-e-auliya hain
Wo ruh-e-kun fakan hain
Wo jan-e-do jahan hain
Jalwah figan kahun main
Jalwah numa kaho tum
Khair-ul-bashar kahun main
Khair-ul-waran kaho tum
Jab main kahoon Muhammad(saw)
Salli ‘ala kaho tum
Kis husn ke hain jalwe
Din raat ke ujale
Shamsh-o-dhoha kahun main
Badr-ud-duja kaho tum
Khair-ul-bashar kahun main
Khair-ul-waran kaho tum
Jab main kahoon Muhammad(saw)
Salli ‘ala kaho tum
Allah humma Salli ‘Ala Muhammadin wa aalihi
Wa barik wa sallim