Mujhe Likhna Hai | Anas Younus

Mujhe Likhna Hai | Anas Younus

Mujhe Likhna Hai | Anas Younus
: :

Ya Sahib-al-Jamal Wa Ya Sayyad-ul-Bashar
Min wajhikal muniri laqad nauwaral qamar
La Yum Kinus Sana o Kama Kana haqquhu
Baad Az Khuda Buzurg Tu-ee, Kissa mukhtasar

Mujhe likhna hai ek insaniyat ka baab-e-tabinda
Munawwar jiske ho alfaz misre jiske rakhshanda
Mujhe ek mohsin-e-insaniyat ka zikr karna hai
Mujhe rang-e-haqeeqat fikr ke khaake me bharna hai

Bashar se kis tarah toraat ke waade huye poore
Sahar ke sham ke din raat ke wade huye poore
Basharat jiski di thi ibn Maryam (ra) ne zamaane ko
Wo hasti kaun thi kab aayi thi mehfil sajane ko

Wo kya saman thi jab utri thi rehmat do jahano ki
Bulandi mil gayi kyun kar zameen ko asmano ki
Na hai taab-e-sukhan mujhko na hai tahrir ka yara
Main zarrah hun mera mauzu khurseed-e-jahan ara

Kahani likh chuka hun garcha suraj chand taron ki
Bahut dohra chuka hun dastan rangeen baharon ki
Magar wo chand, tare, phool, suraj sab hai jismani
Jo ab mauzu hai khurseed me ka wo hai ruhani

Ye khurseed-e-zameenrara hai khurseed-e-maani hai
Isi khurseed ki zarren ke lab par ab kahani hai
Arab ki sarzameen par khemazang gahra andhera tha
Jahan tak kaam karti thi nazar zulmat ka dera tha

Qabeelon me yahan taqseem thi insan ki duniya
Faqat jang-o-jadal par thi fida arman ki duniya
Bazahir garche the ye deen-e-Ibrahim (as) ke pero
Baban til then magar sab apne hi tanzeem ke pero

Yahan jitne bhi seene the shujaat ke thikane the
Magar apne hi bhai is shujaat ke nishane the
Yahan mazhab ki izzat thi na thi imaan ki izzat
Na ho imaan ki to phir kahan insan ki izzat

Varad is sarzameen ki thi ajab na guftani halat
Jo nazara tha uska tha wohi nazara-e-ibrat
Jahan quran ban kar harf haq ko jagmagana tha
Wo khitta aj ek gahre andhere ka thikana tha

Arab se mukhtalif tha garche kuch Iran ka alam
Yahan bhi tha magar naguftani iman ka alam
Shahanshahi kiya benoor shamme jhilmilati thi
Bhadak utthi thi wo kuchh der jab bujhne pe ati thi

Ye un bujhti hui shammo ka tha andaz nurani
Ke zulmat me izafa kar rahi thi unki tabani
Wohi yunan kahlata tha jo tahzeed ki duniya
Wohi roo-e-zameen par aaj tha takhreeb ki duniya

Mitakki ko tajassus ka jahan tha aaj veerana
Falantugh ki kheerad sakhrad ki danish thi afsana
Arastu ki talaqat ek gungashta khazana thi
Sikandar ki shujaat ek pareena fasana thi

Bahot chamka zameen par cheen ki tahzeeb ka tara
Magar ab bujh ke thandha ho chuka tha ye jahahn ara
Kabhi hoti rahi hogi yahan tazeemkan koshish
Dilon se ho chuki thi mah ab takreenkan koshish

Baraz duniya me chaaro simt andhera andhera tha
Nishan-e-Noor ghum tha aur zulmat ka basera tha
Ke duniya ke ufaq par dafatan se lab-e-noor aaya
Jahan me kufr-o-batil me sadaqat ka zuhoor aaya

Haqeeqat ki khabar dene bashir aaya nazir aaya
Shahanshai ne jiske paaon choome wo faqeer aaya
Bhatakti khalq ko rasta dikhane rahnuma aaya
Safin-e-go tabahi se bacha lena khuda aaya

Mubarak ho zamane ko ke khatm-ul-mursaleen aaya
Sahab-e-Raham bankar rahmat-ul-liaalameen aaya
Khaliq aaya, kareem aaya, raqoof aaya, raheem aaya
Kaha Quran jisko sahab-e-khulq-e-azeem aaya

Qamar bankar zamane ka jamal-e-awwaleen aaya
Mata-e-sidq lekar sadiq-ul-waadi ameen aaya
Wo aaya fakr-o-fakri rutba hai jiski Qana’at ka
Wo aaya jo muallim hai jahan me deen fitrat ka

Sarapa ilm ban kar sahibe umm-ul-kitab aaya
Zameene tashnalab ki zindagi ban kar sahab aya
Tajalli aam farmata hua shams-o-zuha aya
Imam-ul-Ambiya aaya Mohammad Mustafa (saw) aaya

Mohammad Mustafa (saw) yani wo mahboob-e-khuda aaya
Dilon ne sarkhushi payi ke Ahmed Mujtaba (saw) aya
Nabi (saw) de jaan fizan payi yateemo ne ghareebon ne
Ghulamo besahaaro bekaso afatnaseebon ne

Payam-e-zindgani mil raha tha zerdasron ko
Fazan ankhen dikhati phir rahi thi khudparasto ko
Dil-e-duniya se har arman uthta tha dua ban kar
Musarrat naarzang thi charsoo peykesaba ban kar

Salame zille subhani salame noore azdani
Salame waqt ki taqdeer ke mathe ki tabani
Salame nazishon fakhro waqare adam-e-faani
Salame bazme tarike jahan me shamm-e-noorani