Mairaj Ki Raat | Fahad Shah

Mairaj Ki Raat | Fahad Shah

Mairaj Ki Raat | Fahad Shah
: :

Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)
Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)

Aaj kya hai jo sajawat hai sar-e-charkh-e-bareen
Chandni raat bhi dilkash hain sitare bhi haseen

Noor hi noor hai zulmat kahin naam nahin
Qabil-e-deed hai gulzar-e-jana ki tazyi

Hukm-e-khaliq hai farishte sabhi hoshiyar rahen
Mere mahboob ki taazeem ko tayyar rahen

Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)
Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)

Ye hai wo raat ke jis raat ko jibrile amin
Le ke paigham-e-khuda aaye Mohammad ke qareen

Is tarah ‘arz ki ae khatm-e-irfan ke nageen
Hai talab aap ki duniya se sar-e-‘arsh bareen

Aur raaton se hai azmat me siwa aaj ki raat
Hogi mashhoor do alam me ye mairaj ki raat

Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)
Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)

Haft-e-gardon ko farishton ne saja rakha hai
Zok-e-deedar nigahon me chhupa rakha hai

Rasta aap ke jane ka bana rakha hai
Housla chashm-e-tamanna ka badha rakha hai

Sadqa ho ye hukm hai baad-e-bahari ke liye
Ek burrak hai hazrat ki sawari ke liye

Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)
Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)

Mere hamrah soo-e-charkh sidharen hazrat
Khud ko chalne ke liye jald sanwaren hazrat

Loot kar husn-e-haqeeqi ki baharen hazrat
Naaw doobi hui ummat ki ubharen hazrat

Aasiyon par bhi inayat ki nazar ho jaye
Zulmat-e-sham safeday-e-sahar ho jaye

Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)
Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)

Sunte hi hukm-e-khuda ho gaye tayyar Nabi
Khil uthi fart-e-musarrat se tamanna ki kali

Bagh-e-alam se soo-e-charkh sawari jo badhi
Peshwayi ke liye husn ki bijli chamki

Nazren shauq chali sath magar ja na saki
Yun rawana huye hazrat ke sawa pa na saki

Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)
Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)

Noor hi noor sar-e-charkh nazar aata hai
Khud khuda jiska hai talib wo bashar aata hai

Bahr-e-irfan mohabbat ka gohar aata hai
Aaj Allah ka mehman idhar aata hai

Sab hain bechain payambar ki ziyarat ke liye
Jate hai arsh pe ummat ki shaf’at ke liye

Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)
Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)

Khalwat-e-talib-o-matloob ka tu puchh na haal
Khak ho jaye agar aye yahan wahm-o-khyaal

Ho tassawar ka guzar ye bhi hai ek amr-e-mahal
Is taraf khauf udhar dost ke lahze me sawal

Ye hai wo raaz ke jo zehan me aane ka nahin
Juz Nabi koi jawan ‘arsh pe jane ka nahin

Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)
Salle ‘Ala Salle ‘Ala Salle ‘Ala Mohammad (saw)