Apna Bana Liya | Shaz Khan
Apna Bana Liya | Shaz Khan
Ahmad-o-mujtaba
Ahmad-o-mujtaba
Sab jante hue bhi gale se laga liya
Mujhse gunahgar ko apna bana liya
Taiba mein aake randa-e-dargah-e-sheikh mein
Aaghosh mein haram ki nasheman bana liya
Rindo ne aaj gumbad-e-khazra ke saaye mein
Jashn-e-‘ata-e-saaq-e-kausar mana liya
Mujhse gunahgar ko apna bana liya
Sab jante hue bhi gale se laga liya
Dekhe na koi hashr mein roo-e-siyah ka
Un mere dayer rahmate haq mein chhupa liya
Padhte hue durood-o-salaat-o-salam-o-naat
Maine azab-e-hashr se khud ko bacha liya
Mujhse gunahgar ko apna bana liya
Sab jante hue bhi gale se laga liya
Uth jayenge majaz ke parde bhi sheikh agar
Aankho mein khak-e paye nabi ko saja liya
Na len wo sun na payen payami se aur mujhe
Go khwab mein sahi pa-madine bula liya
Mujhse gunahgar ko apna bana liya
Sab jante hue bhi gale se laga liya
Jane tha wo mijaz-e girami-e-mustafa
Do ansuon se shah ne unko mana liya
Ahmad-o-mujtaba
Ahmad-o-mujtaba