Aye Mere Moula | Fahad Shah

Aye Mere Moula | Fahad Shah

Aye Mere Moula | Fahad Shah
: :

Aye mere moula aye mere bari
Allah hu Allah, Allah hu Allah
Kisko pukare tera bhikhari
Allah hu Allah, Allah hu Allah

Majal hai kuchh bhi kar sakun main
Jo tu na toufeeq aye khuda de
Teri mashiyat hai sab pe ghalib
Yahi chahe mere sab irade
Bahut dino rah chuka nikamma
Bas ab mujhe kaam ka bana de
Mai kab se hun mahle khab ghaflat
Bas ab jagah de bas ab jagah de

Aye mere moula aye mere bari
Allah hu Allah, Allah hu Allah
Kisko pukare tera bhikhari
Allah hu Allah, Allah hu Allah

Rahe talab me sawaar sab hai
Peead misle ghubbar hun mai
Tere gulistan me sare gul hain
Bas ek agar hu to khar hu main
Mujhe bhi kuch fikr-e-akhrat ho
Bahut hain ghaflat she’ar hun mai
Raha mai bekar zindagi bhar
Bas ab to mashghoolkar hun mai

Aye mere moula aye mere bari
Allah hu Allah, Allah hu Allah
Kisko pukare tera bhikhari
Allah hu Allah, Allah hu Allah

Tujhe to maloom hai ilahi
Bahut hi ganda hai hal mera
Gunah me aludah ho raha hai
Rhuan rhuan bal bal mera
Ye akhri din hai zindagi ke
Durust karde maqal mera
Teri mohabbat me ab jiun mai
Isi me ho inteqal mera

Aye mere moula aye mere bari
Allah hu Allah, Allah hu Allah
Kisko pukare tera bhikhari
Allah hu Allah, Allah hu Allah

Karam se tere ba’eed kya hai
Jo fazal mujh par bhi mere rab ho
Teri madad ho meri ho koshis
Teri kashis ho meri talab ho
Bedeen guzri hai umr sari
Naseeb toufeeq nek ab ho
Rahun mai mashghool zikrta’at
Bas ab yehi shughl roz-o-shab ho

Aye mere moula aye mere bari
Allah hu Allah, Allah hu Allah
Kisko pukare tera bhikhari
Allah hu Allah, Allah hu Allah

Inayet-e-khas ko ilahi
Mai tujh pe qurban aam kar de
Ye sab ne adna ghulam ko bhi
Naseeb ab qurb-e-ta’am karde
Mai haaye kab tak rahu adhoora
Bas ab tu qurb mera jaam karede
Fanah ka ho darja ab ‘ataa ho
Jo kaam mera tamam karde

Aye mere moula aye mere bari
Allah hu Allah, Allah hu Allah
Kisko pukare tera bhikhari
Allah hu Allah, Allah hu Allah