Quran Wo Kitab Hai | Hafiz Abu Bakr

Quran Wo Kitab Hai | Hafiz Abu Bakr

Quran Wo Kitab Hai | Hafiz Abu Bakr
: :

Jo fikr ka charagh hai
Jo ilm ka nisaab hai
Jo teergi-e-jahal me
Misaal-e-aftab hai

Quran ka nizam hi
Jahan me kamyaab hai
Quran wo kitab hai
Jo dars-e-inqilab hai

Samajh ke gar koi padhe
To noor-un-ala noor hai
Bila samajh ke bhi padhe
To ba’aise suroor hai

Kalam paak sar-basar
Sawab hi sawab hai
Quran wo kitab hai
Jo dars-e-inqilab hai

Kalam-e-rab-e-do jahan
Se apne munh ko modna
Shaar-e-deen ka chhorna
Khuda ka hukm todna

Bahut bada gunah hai
Jo ba’ais-e-azab hai
Quran wo kitab hai
Jo dars-e-inqilab hai

Hai kisme taab is kitab
Si kitab la sake
Hai kisme dam ke ek
Ayat aisi jo bana sake

Fasahat-e-Arab bhi
Iske aage lajawab hai
Quran wo kitab hai
Jo dars-e-inqilab hai

Kahin pe Surah-e-Qalam ki
Nikhaten hain jalwagar
Kahin pe Toor-o-Noor hai
Kahin pe Shams aur Qamar

Ye rashk-e-aftab hai
Ye rashk-e-mahtab hai
Quran wo kitab hai
Jo dars-e-inqilab hai

Ye wo kitab hai ke
Jaise baad baan Nuh (as) ho
Koi mareez-e-qalb ho
Koi mareez-e-rooh ho

Ilaj shafi har maraz ka
Isme dastiyab hai
Quran wo kitab hai
Jo dars-e-inqilab hai

Nahin hai ye kitab asar
Qasam uthane ke liye
Nahin hai ye kitab
Taaq me sajane ke liye

Na-qadri ye kalam paak
Ek siyah baab hai
Quran wo kitab hai
Jo dars-e-inqilab hai

Jo fikr ka charagh hai
Jo ilm ka nisaab hai
Jo teergi-e-jahal me
Misaal-e-aftab hai

Quran ka nizam hi
Jahan me kamyaab hai
Quran wo kitab hai
Jo dars-e-inqilab hai