Ammi Ayesha (R.A) Ki Azmat | Hafiz Abu Bakr

Ammi Ayesha (R.A) Ki Azmat | Hafiz Abu Bakr

Ammi Ayesha (R.A) Ki Azmat | Hafiz Abu Bakr
: :

Har ek momin ki hai maa
Ayesha (RA) jhuthla nahi sakte

Bura jo maa ko kahte hain
Wo jannat paa nahi sakte

Har ek momin ki hai maa
Ayesha (RA) jhuthla nahi sakte

Jinhen hai bughz Abu bakr (RA)
Umar (RA), Usmaan-o-Haidar (RA) se

Shafa’at unki mehshar mein
Nabi (SAW) farma nahi sakte

Har ek momin ki hai maa
Ayesha (RA) jhuthla nahi sakte

Hazar aandhi, Hazar aandhi
Chale toofan aaye ya gire bijli

Jo islami chaman ke phool
Hain murjha nahi sakte

Har ek momin ki hai maa
Ayesha (RA) jhuthla nahi sakte

Nabuwat khtam hai mere
nabi hazrat Mohammad (SAW) par

Kisi ke paas jibraeel-e-ameen
Ab aa nahi sakte

Har ek momin ki hai maa
Ayesha (RA) jhuthla nahi sakte

Hazaron Abu lahab aaye
Hazaaron Abu jahal aaye

Ghulama ne Muhammad ko
Kabhi bahkaa nahi sakte

Har ek momin ki hai maa
Ayesha (RA) jhuthla nahi sakte

Rasool Allah (SAW) se jinko
Mohabbat hai aqeedat hai

Wo unke hukm ko madni
Kabhi thukra nahi sakte

Har ek momin ki hai maa
Ayesha (RA) jhuthla nahi sakte